لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Saro ko dhaap kar aao

Shadman Raza2014
ShiaNohaLyrics
Haay janaza jiska chupae the shab ki tareeki damishk me ye usi fatima ki hai beti na kal to shaam me parda bacha saka tha koi dukhi husain ki maa keh rahi hai ya mehdi dua ko haath uthae hai maadar e zainab bachae roze ko roza hai chadar e zainab saro ko dhaap kar aao..(2) tumhe zainab bulati hai abhi tak, shaam ke bazaar se awaaz aati hai..(2) 1. Batate hai ye raste jo abhi tak khoo me doobe hai yaha se sayyad e sajjad zanjeero me guzre hai tamacho se sakina ko kabhi zainab bachati hai abhi tak, shaam ke bazaar se awaaz aati hai..(2) 2. Kahi durro ki barish hai kahi hai maarte pathar zami kyu phatt nahi jati tamashe ko khule hai darr kabhi baalo se zainab apne chehre ko chupati hai abhi tak, shaam ke bazaar se awaaz aati hai..(2) 3. Na khud hai zainab e nachaar bhi us ek rassi me bandhe hai abid e beemar bhi is ek rassi me sakina kis tarah panjo ke bal par chal ke jati hai abhi tak, shaam ke bazaar se awaaz aati hai..(2) 4. Bohot rote hai aabid dekh kar ye halat e zainab ke aisa imtehaan nabiyo se bhi leta nahi ya rabb imamat sar jhukakar khoon ke aansu bahati hai abhi tak, shaam ke bazaar se awaaz aati hai..(2) 5. Khudaya hai yahi mushkil kusha e waqt ki poti ye saara shaam kehta hai sakina chup nahi hoti lahu kaano se behta hai tamache muh pe khaati hai abhi tak, shaam ke bazaar se awaaz aati hai..(2) 6. Khuda aur mustufa ke deen ka paband hai koi na majme me hazaro ke bhi ghairat mand hai koi musalmano ki ghairat par bohot aansu bahati hai abhi tak, shaam ke bazaar se awaaz aati hai..(2) 7. Sharabi badnasab darbaar hai kitne laee dekhe khadi zainab thi jisne 700 kursi nashi dekhe madad ko saatwe(7) dar par ali ko ye bulati hai abhi tak, shaam ke bazaar se awaaz aati hai..(2) 8. Hai jaari shaam o kufa me jafa ka silsila ab tak ke bhai bekafan hai aur behen hai berida ab tak nikal kar qaid