لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abbas Abbas Ya Abal Fazlil Abbas

Shadman Raza2015
ShiaNohaLyrics
Abbas Abbas ya abal fazlil  abbas (2) Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai(2) Tum bhi nahi ham ko thukrana (2) Ham duniya ke thukraae hai Abbas abbas ya abal fazlil abbas Saare sahaare tut chuke,hame apne paraye lut chuke (2) Tum apni panaho me le lo (2) Ham ran se bohot ghabraae hai Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai Abbas Abbas ya abal fazlil  abbas Ashko ki zaban pehchaante ho,jo dil me hai wo bhi jaante ho (2) Ham keh nahi sakte tum sunlo (2) Bas haatho ko failaaye hai Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai Abbas Abbas ya abal fazlil  abbas Har suni godi bhar jaye ,har beti ko rishta mil jaye(2) Un chehro ko ronak de do (2) Jo ban ke sabab murjaye hai Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai Abbas Abbas ya abal fazlil  abbas Maula tum babe hawaaij ho,roze pe unhe b bulwaalo (2) Ghurbat ke sabab jo aa na sake (2) Ham unke  aranje  se aye hai Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai Abbas Abbas ya abal fazlil  abbas Jo naam tumhara leta hai,Allah b usko deta hai (2) Khairat buri da shano ki (2) Lene k liye ham aye hai Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai Abbas Abbas ya abal fazlil  abbas Hote hai kitne zulm shadid aur ehle aza hote shaheed(2) Jo khatm yazido ko kar de (2) Wo taakat maangne aye hai Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai Abbas Abbas ya abal fazlil  abbas Maula hai apse ek hi sawal,Allah hame de rizk e halal(2) Ho lashkar  mehdi me shaamil (2) Jitney bhi zaaer aaye hai Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai Abbas Abbas ya abal fazlil  abbas Kha kha ke tamache roti hai,zinda ki khaak pe soti hai (2) Buj jaaye pyaas sakina ki (2) Ham aankh me aansu laaye hai Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai Abbas Abbas ya abal fazlil  abbas Darbar saki Abbas ka tha,kuch mangna tha laazim manga (2) Lekin ye haqeeqat bhi hai qamar (2) Ham pursa dene aye hai Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai Abbas Abbas ya abal fazlil  abbas Ya abal fazlil abbas