لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde

Shadman Raza2015
ShiaNohaLyrics
Haaaaaaa…..jab gire ghode se…..abbas …….to pahoche maula…..zakhmi abbas ka sar apne zaano pe rakha….pochkar khun ko…aankho se kia…..ek gila….zindagi bhar kabhi tumne na mujhe bhai kaha….dil ye kehta hai ke…zehra ne kaha to hoga….dil ye kehta hai ke zehra ne kaha to hoga….ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha (2) Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde (2) Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha (2) Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde (2) Tujko godi me sambhala mere shabbier ne hai Teer aankho se nikala mere shabbier ne hai Aakhri waqt ye shabbir (2)K tu lag ja gale Ay mere  bhai tu shabbir ko bhai kehde Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha (2) Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde Tujko har waqt hai farzande payambar ka khayal Mujse dekha nahi jata mere shabbir ka haal Aarzu iski hai ke abbas (2) muje bhai kahe Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde Chakkiya pees ke shabbir ko maine paalaa Ab nahi koi bhi ise bhai kehne wala Mere  Shabbir ne maktal me (2) bohot ranj sahe Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde Bhai jitney bhi the kehte rahe maula aqa Ehteraaman kisi bhai ne bhai na kaha Bhai kehlane ko beta (2) mera kabtak tarse Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde Yu to kuch dam me mere paas chal aayega Mera shabbir to tanha yaha reh jaaega Isse pehle ki gala bête ka (2) khanjar se kate Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde Mera shabbir meri jaan hai nabi ka waaris Mera abbas jari tu hai ali ka waaris Tere baba ki bhi khwaaish (2) hai ke tu bhai kehde Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde Yaad rakhega jaahan tune wafa wo ki hai Tune farzande mohammad ke liye jaan di hai ye tere zakhm tera khun (2) me tere sadke Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde Jab gira ghode se to tune sadaa ek di thi Mai tere paas shabbir se pehle pohchi Ab mera ek tu ab maan (2) le ye maa jo kahe Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde Jism me teer hai baazu hai juda zakhmi sar Mai bohot roti hu beta teri mazlumi par Khun bhar dastt wo ridaaa(2) tere maine chume Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde Mere shabbir ko dharas hai sakina ko aas Roze mehshar bhi tu hai babe hawaaij abbas Phir kate haath me laaugi (2) shifa-at ke liye Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde Aur qamar par hukme abbas kare kya na kare Ek taraf maa ki kasam ek taraf zehra hai Dil se bhai ka na hoto (2) se keh na sake Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde