لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mazlumi Duniya Hai

Shadman Raza2015
ShiaNohaLyrics
Labbaik ya Hussain (3) Hussain ya hussain (4) Maatam ki sadayein se zamaane ko hila do Pagham e Hussain ibn Ali sabko suna do Pyaase hai zulm ke azar mita do Inkar ke har jism ko miti mai mila do Sar apna kataa dege (2) ghar baar luta dege Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2) Sar apna kataa dege (2) ghar baar luta dege Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2) Paaighaame sadaaqat sebaatil ko mitaa dege Ye hasti hai baatil ki duniya hilaa dege Ahmad ke gharaane ki har shaan dikha dege Sar apna kataa dege (2) ghar baar luta dege Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2) Quran ko ye apna ghamsar samajte hai Ye huzne shahadat ka ghar raah samajte hai Marna rahe khaalik me ejaaz samajte hai Sab zulmo pe tashaddud ki buniyaad mita dege Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2) Ye maut ki har manzil aasan samajte hai Imaan pe mit jana imaan samajte hai Islam ki fitrat ka irfan samajte hai Ye kasre yazidi ko mitti me mila de Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2) Ye khoon se sichege gulzaare nabuwwat ko Mitne hi nahi dege tauheed ki azmat ko Ye khel samajte hai duniya e shahadat ko Islam ko ye gaazi islam banaa dege Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2) Zaalim ki kabhi baiyat ham log nahi karte Ham naasir e mahdi se zaalim se nahi darte Gar qatl kare duniya ham log nahi marte Zinda e shahadat se ham ji ke dikha dege Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2) Darbar me zaalim ke haq baat pe hai dat-te Imaan nahi jata ho laakh gale kat-te Ye karbobala wale firqo me nahi bat-te Ham saare hussaini hai ham milke dikha dege Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2) Safdar hai dilawar hai talwar ke gaazi hai Islaame sipahe hai kirdaar ke gaazi hai Mazbut iraade hai guftaar ke gaazi hai Ye sham ki faujo ko kufe se mila dege Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2) Shabbir ke mahsad ko ham log nahi bhule Chode na namazo ko parde me rahe ehle Bhai se wafadari maa baap ka dil rakhe Sajjad shifa dege abbas dua dege Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2) Haa tufan musibat ka aya hai to kya gham hai Paighaam tabaahi ka laya hai to kya gham hai Badal sa rahoonat ka chaayaa hai to kya gham hai Zulmat ke zamaane ko purnoor bana dege Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2) Maula ki ye himmat hai ye teer bhi khaalege Akbar ke kaleje se barchi bhi nikaalege Peeri mai jawaani ka laasha bhi utha lege Jab sab ye luta dege gardan bhi kata dege Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2) Zaalim ki nazar jinko majbur samajti hai Taakat se mitaa dena dastur samajti hai Laachar samajti hai mehjul samajti hai Wo asr talak mazhar ghar apna luta dege Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2) Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2)