لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abhi zinda hai hussain

Shadman Raza2016
ShiaNohaLyrics
Mat badho janibe khaima Chur zakhmo se hai tanha Abi zinda hai Hussain Abi zinda hai Hussain Ismato aayaye tatheer ke rakwale hai Hurmate khanaye kaaba ye haram waale hai (Jhal na jaaye koi khaima)×2 Chur zakhmo se hai tanha Abi zinda hai Hussain Abi zinda hai Hussain Dar pe khaime ke hai hamsheer meri mazluma Mere khaime me sakina hai meri masooma (Us taraf jaane na dega)×2 Chur zakhmo se hai tanha Abi zinda hai Hussain Abi zinda hai Hussain Luthane ke liye khaimo ki taraf wo jaate Dekh sakta nahi beti ko tamache khate (Shimr aage nahi badhna)×2 Chur zakhmo se hai tanha Abi zinda hai Hussain Abi zinda hai Hussain Tumne abbas ke bi kaat diye the baazu Meri aaghosh me cheda mere asghar ka gulu (Kehne ke ye shah ne roka)×2 Chur zakhmo se hai tanha Abi zinda hai Hussain Abi zinda hai Hussain Mere chehre pe hai asghar ke lahu ki surkhi Mere seene me hai akbar ke jigar ki barchi (Tukde qasim hai laasha)×2 Chur zakhmo se hai tanha Abi zinda hai Hussain Abi zinda hai Hussain Akhari saans hai ay zalimo me ghalib hu Me Hussain ibne ali ibne abi talib hu (Azm zakhmo se na tuta)×2 Chur zakhmo se hai tanha Abi zinda hai Hussain Abi zinda hai Hussain Tum jo badhte ho udar mujhko jalal aata hai Ya ali ye meri ghairat ka sawal aata hai (Aage badhne nahi dega)×2 Chur zakhmo se hai tanha Abi zinda hai Hussain Abi zinda hai Hussain Teer pebast the me pushte faraz se jo gira Me gasith tha hua khaimo ki taraf hu badhta (Beh gaya khoon ka dariya)×2 Chur zakhmo se hai tanha Abi zinda hai Hussain Abi zinda hai Hussain Hai yateem usme hi sehmi hui kuch maae hai Bain karti hui khaime me ye bewaaye hai (Bibiyo ka hai sahara)×2 Chur zakhmo se hai tanha Abi zinda hai Hussain Abi zinda hai Hussain Ay kamar hona hai ik din mere mehdi ka zahoor Sheh ye kehte hai ye waris mera aayega zarur (Leke badla wo kahega)×2 Chur zakhmo se hai tanha Abi zinda hai Hussain Abi zinda hai Hussain