لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mujhe baba ka sar laado

Shadman Raza2017
ShiaNohaLyrics
Bhaiyya sajjad..(5) Ye meri aakhri shab hai, sakina ne kaha bhaiyya mujhe baba ka sar laa do 1. Sakhi ke laal ho ye akhri khwahish na radd karna tumhare ghar ka shewa hai gharibo ki madad karna sawali hai jale daman, ko phelaye hue dukhiya mujhe baba ka sar laa do 2. Padar ke baad beti ka tamacho par guzara hai bataungi unhe shimr e laee'n ne kaise maara hai zara nazdeek se aakar wo mera dekhle chehra mujhe baba ka sar laa do 3. Ajab halat mein dekha tha sare darbaar baba ko nahi paani mayassar qaid khane mein sakina ko mai apne aasuo'n se dhoungi mazloom ka chehra mujhe baba ka sar laa do 4. Mai roi jab padar ko shimr ne badla liya tumse qasam hai mujhko baba ki mera waada raha tumse sakina ab na roegi na ab khaoge tum durra mujhe baba ka sar laa do 5. Zuba'n hai khushk itni baat karna mujhpe bhari hai tumhe maloom hai bhai sakina kab se pyaasi hai magar karti nahi dukhiya taqaza tumse paani ka mujhe baba ka sar laa do 6. Padar ka dekh kar chehra sadaa bedaar hoti thi shab e ashoor tak unki ziyarat karke soti thi zara dekho in aankho'n ne unhe kab se nahi dekha mujhe baba ka sar laa do 7. Paresha'n ho agar koi tasalli dete jaate hai suna hai marte dum apno se milne ko wo aate hai hai mujhpe nazr ka alam chali mai chod kar duniya mujhe baba ka sar laa do 8. Takallum sar jab aaya qaid khane mein qayamat thi adhuri reh gayi baatein hui khamosh shehzadi feza mein gunjta hai shadma'n ab tak yehi nauha mujhe baba ka sar laa do