لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Qasim jo gire ghode se

Shadman Raza2017
ShiaNohaLyrics
Haaye.. 1. Qasim jo gire ghode se, tha maut ka pehra..(2) tha khoon mein dooba hua woh, chaand sa chehra chhalni tha badan teero se, har zakhm tha gehra khoo'n sar se baha, ban gaya ek ladiyo ka sehra arey, is tarha larazta hua, laasha nahi dekha is shaan ka kabhi koi dulha nahi dekha 2. Har jod tha toota hua, har band juda tha baazu hai ye wo jispa ke taweez bandha tha arey, kuchla hua seena tha, lahu sar se baha tha is phool se bacche pe ajab zulm hua tha ye wazn ka taapo ka wahi, toot gayi thi sab pasliya'n seene mein kahi'n toot gayi thi 3. Maida'n mein madad ke liye chillate the qasim jaate the idhar aur udhar aate the qasim arey, dam atka tha aur chayn nahi paate the qasim lagti thi jo taape to tadap jaate the qasim arey, ghodo se kuchal jaane ki zehmat na dikhaye allah kisi ko ye musibat na dikhaye 4. Sheh khaak pe bhai ka pisar dhoondh rahe hai maida'n mein wo laasha hai kaha'n dhoondh rahe hai arey, ankho'n mein andhera hai magar dhoondh rahe hai phir bhai ka har lakht e jigar dhoondh rahe hai arey, tibra ke wahi'n girte hai ghash aate hai sheh ko jab jism ka tukda koi mil jaata hai sheh ko 5. Shabbir ne jisko kabhi godi mein sulaya haatho ko bhi chuma kabhi seene se lagaya arey, taqdeer ne ye aaj ajab waqt dikhaya laasha usi bachhe ka hai chadar mein uthaya thaame hue kaule hasan e khasta jigar hai aaza ki ye gathdi nahi bewa ka pisar hai 6. Seh lete hai kuch dard bataye nahi jaate laashe kabhi hisso mein uthaye nahi jaate gar shaah rida apni bichaye nahi jaate tukde kabhi qasim ke uthaye nahi jaate arey, chadar ko jo thaame hue abbas khade hai akbar bhi sahare ke liye paas khade hai 7. Kya haal hai laashe ka bataya nahi jaata shabbir se sadma ye uthaya nahi jaata arey, gehra hai bohot zakhm chupaya nahi jaata khaime ki taraf badhte hai, jaaya nahi jaata arey, is gham ka kaha'n baar utha payegi bewa jab laashe pisar dekhegi mar jayegi bewa 8. Arey, dil apna sambhala, kabhi chadar ko sambhala khaime ki taraf chalne lage sayyede wala tareek hua jaata tha, aankho'n ka ujala chadar mein bandhi laash ko jab saamne daala farwa ne ye pucha ke kaha'n laal mera hai dil hilta hai batlaiye is gathdi mein kya hai 9. Arey, gathdi jo khuli hashr bapa ho gaya har su tukde tha badan laash ka aur khoo'n bhare gesu arey, taapo ke nisha seene mein aur aankho'n mein aasu kehne laga, aahista se zehra ka wo mehru ye dekhiye jo ek tan e sadpaash hai bhabhi pehchaniye qasim ki yehi laash hai bhabhi 10. Maa gir gayi, maa gir gayi ye dekhke tibra ke zamee'n par mehshar se hi pehle tha waha khaime mein mehshar arey, farwa ko sambhale rahi khud zainab e muztar shabbir ki aankho'n mein qamar phir gaya manzar arey, larzish thi har ek tukde mein kuchla hua tan tha..(2) shabbar ka kaleja tha ke qasim ka badan tha