لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Shabe ashoor dhalti jaa rahi hai

Shadman Raza2017
ShiaNohaLyrics
Haaye haye haaye..(2) ghabraye gi zainab..(2) shab e ashoor dhalti jaa rahi hai ali ki laadli ghabra rahi hai shab e ashoor dhalti jaa rahi hai..(2) 1. {Zamee'n chup hai falak sehma hua hai dil e zainab paresha'n ho raha hai}..(2) ghata zulm o sitam ki chaa rahi hai shabe ashoor.. 2. {Qaza ki zadd pe zehra ka chaman hai hussaini qafla tashna dahan hai}..(2) lahu chashme falak barsa rahi hai shabe ashoor.. 3. {Jidhar dekho nazar aata hai lashkar ajab purhaal hai sehra ka manzar}..(2) yazidi fauj simti aa rahi hai shabe ashoor.. 4. {Kabhi auno mohammad ko bulaya kabhi seene se akbar ko lagaya}..(2) kabhi abbas ko samjha rahi hai shabe ashoor.. 5. {Kabhi gehwara e asghar jhula kar kabhi godi mein bhai ko uthakar}..(2) sakina khud ko yu behla rahi hai shabe ashoor.. 6. {Rasool e paak ki masnad bicha kar ali akbar ko pehlu mein bitha kar}..(2) sukoon e qalb zainab paa rahi hai shabe ashoor.. 7. {Khamoshi dasht mein chhayi hui hai sakina aaj ghabrayi hui hai}..(2) sadaa e al-atash bas aa rahi hai shabe ashoor.. 8. {Qalam khursheed likhta hi rahega gham e shabbir ka darya bahega]..(2) gauhar fikre rasaa barsa rahi hai shab e ashoor dhalti jaa rahi hai ali ki laadli ghabra rahi hai shab e ashoor dhalti jaa rahi hai