لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ya ali yo murtaza

Shadman Raza2017
ShiaNohaLyrics
Nauhagar zamee hai khoon ro raha hai Aasma'n Masnad e azaa bichii huwii hai barsare Jinaa'n Daastaan e panjatan pe rorahe hai do jahaa'n Kaapti hai ye sadaein sunke qabr e Mustafa Ya Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza Aasmaa'n se de raha hai ek munadi ye sadaa Ya Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza 1) Baad e payambar wo zulm huwaa Aal e Nabi ka koi na rahaa Rassi se haider ka baandha galaa Pehlu e Zehra bhi toda gayaa Roti thi binte Nabi yani hamraaz e Ali (2) Haaye ye zamaana humse kitni jaldi phir gaya Ya Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza 2) Baandh ke haider Ko rassiyo se Galiyo me zaalim jab leke chale Naala o shewan Zehra ne kiye Baazu pe Shamsheer ke kund pade Fatema par ye jafaa wo bhi pesh e Murtaza (2) Ek shikasta pehlu bibi par Sitam ki intehaa Ya Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza 3) Dil me liye ghum Zehra margayi Khaana e haider soona kargayi Fatema pesh e paigambar gayi Pehlu shikasta hi lekar gayi Hogaye tanha Ali dekhlijey ya Nabi (2) Dard e Dil bayaa'n karega kisse shah e laafata Ya Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza 4) Zainab o kulsoom Hasnain sabhi Kartey hai mehsoos amma ki kami Kaisi museebat ye Aan padi Rote hai tanhaiyo me Ali Sabr e ayyoobi kaha sabr e haideri kahaa (2) Qabr ka nishaan bhi bamasl hai chupa diya Ya Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza 5) Silsila e zulm phir bhi na rukaa Qatl Ali Ko masjid me kiyaa Khoo'n se musalla rangeen huwa Ghar me Khuda ke hai hashr bapaa Chalgayi tegh e jafa zakhmi hai sher e qudaa (2) Kaun rotiya yateem bacho Ko khilaega Ya Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza 6) Zehr e dagha phir Shabbar Ko diyaa Jiske asar se Dil tukde huwa Daagh e yateemi qasim Ko milaa Teero se lashe Ko Chalni Kiya Hasan e sabzqabaa bhi na dunya me rahaa (2) Juz Husain panjatan me ab koi nahi bachaa Ya Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza 7) Daste Sitam aur kuch aage badhaa Saamne aayi phir karbobala Shimr ka Khanjar bekas pe chalaa Behno ke aage sarr sheh ka kataa Cheekhti thi fatema rehm kar Behr e Khuda (2) Kardiya sitamgaro ne panjatan ka Khatema Ya Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza 7) Laasho pe ghode daudaye Gaye Bibiyo ke Dil dehlaye Gaye Haath rasan se bandhwaye Gaye Pushto pey durrey barsaye Gaye Shab ki tarikiyo mein jiska taaboot utha (2) Uski betiya'n phirayi jaarahi hai berida Ya Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza 8) Nauha wo Naushad jo tu ne likha Shadma'n ye hai Zehra ki ataa Qabr e Nabi aur shah e laafata Zer e kafan khud Karte hai bukaa Peeto sarr Ahle azaa fatema dengii jazaa Ye wo ghum hai Ahle aasmaan me bhi hai bapaa Ya Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza