لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ya aliyo ya aliyo ya aliye murtaza

Shadman Raza2017
ShiaNohaLyrics
Nauhagar zamee'n hai khoon ro raha hai aasma'n masnad e azaa bichi hui hai bar sare jinaa'n daastan e panjetan pe ro rahe hai do jahaa'n kaanpti hai ye sadaein sunke qabr e mustafa Ya ali yo ya aliyo ya ali ye murtaza..(2) Aasmaa'n se de raha hai ek munadi ye sada Ya ali yo ya aliyo ya ali ye murtaza..(2) 1. Baad e payambar wo zulm hua aale nabi ka koi na raha rassi se haider ka bandha gala pehlu e zahra bhi toda gaya roti thi bint e nabi, yani hamraz e ali..(2) haye ye zamana humse kitni jaldi phir gaya Ya ali yo ya aliyo ya ali ye murtaza 2. Baandh ke haider ko rassiyo se galiyo mein zalim jab leke chale nala o shewan zehra ne kiye baazu pe shamsheer ke kund pade fatima par ye jafa, wo bhi peshe murtaza..(2) ek shakista pehlu bibi par sitam ki inteha Ya ali yo ya aliyo ya ali ye murtaza 3. Dil mein liye ghum zehra mar gayi khana e haider soona kar gayi fatima peshe paighambar gayi pehlu shikasta hi lekar gayi hogaye tanha ali, dekh lijiye ya nabi..(2) dard e dil bayaa'n karega kisse shahe lafata Ya ali yo ya aliyo ya ali ye murtaza 4. Zainab o kulsoom, hasnain sabhi karte hai mehsoos amma ki kami kaisi musibat ye aan padi rote hai tanhaiyo'n mein ali sabr e ayyubi kaha'n, sabr e haider kaha'n..(2) qabr ka nishaan bhi bamasl hai chupa diya Ya ali yo ya aliyo ya ali ye murtaza 5. Silsila e zulm phir bhi na ruka qatl ali ko masjid mein kiya khoo'n se musalla rangeen hua ghar mein khuda ke hai hashr bapa chal gayi teghe jafa, zakhmi hai shere khuda..(2) kaun rotiya'n yateem baccho ko khilayega Ya ali yo ya aliyo ya ali ye murtaza 6. Zehr e dagha phir shabbar ko diya jiske asar se dil tukde hua daaghe yatimi qasim ko mila teero se laashe ko chhalni kiya hasan e sabz qaba, bhi na duniya mein raha..(2) juz husain panjetan mein ab koi nahi bacha Ya ali yo ya aliyo ya ali ye murtaza 7. Dast e sitam aur kuch aage badha saamne aayi phir karbobala shimr ka khanjar bekas pe chala behno ke aage sar sheh ka kata cheekhti thi fatima, rehm kar behre khuda..(2) kardiya sitamgaro ne panjetan ka khaatma Ya ali yo ya aliyo ya ali ye murtaza 8. Laasho pe ghode daudaye gaye bibiyo ke dil dehlaye gaye haath rasan se bandhwaye gaye pusht pe durre barsaye gaye shab ki tarikiyo mein, jiska taboot utha..(2) uski betiya'n phirayi jaa rahi hai berida Ya ali yo ya aliyo ya ali ye murtaza 9. Nauha wo naushad jo tune likha shadma'n ye hai zehra ki ataa qabr e nabi aur shahe lafata zere kafan khud karte hai buka peeto sar ehle azaa, fatima dengi jaza..(2) ye wo ghum hai ehle aasmaan mein bhi hai bapa Ya ali yo ya aliyo ya ali ye murtaza