لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Hussain ka ghum manane walo

Shadman Raza2018
ShiaNohaLyrics
Labbaik ya hussain..(2) Hussain ka ghum manane walo hussain tumko bula rahe hai suno suno aye zamane walo hussain tumko bula rahe hai Hussain ka ghum manane walo hussain tumko bula rahe hai 1. Yehi to hai intezaar e mehdi sada e halmin ka hai ye matlab..(2) wafa e abbas mein bano tum mahafizan e mazar e zainab..(2) wafa ka parcham uthane walo..(2) hussain tumko bula rahe hai 2. Azeem hurr tha ke jisne akhir hussain par jaan apni di hai..(2) kabhi ye socha hai zakiro ne kabhi ye awaaz bhi suni hai..(2) ke zikr hurr ka sunane walo..(2) hussain tumko bula rahe hai 3. Jo khaibar e waqt mein ladoge to karbala se na hogi doori..(2) jaha'n bhi mazloom pis rahe hai waha' pe imdaad hai zaruri..(2) ali ke naare lagane walo..(2) hussain tumko bula rahe hai 4. Yehi to maqsood e karbala hai ke imtehan e wafa yehi hai..(2) hai mil chuke tumko sab wasael magar irade mein kuch kami hai..(2) ziyarato pe na jaane walo hussain tumko bula rahe hai 5. Jo ibn e zehra pe jaan denge unhi ke honge bade muqaddar..(2) zohair qain aaenge yaqeenan kaha hai zaujaan e aage badhkar..(2) chalo chalo aye zamane walo..(2) hussain tumko bula rahe hai 6. Jo al ajal ki sada lagaye wo apna qirdaar bhi dikhaye..(2) imam e mehdi ke hai jo nasir habib ibn e mazahir aaye..(2) ke dosti ko nibhane walo..(2) hussain tumko bula rahe hai 7. Yehi to paigham e karbala hai hai nusrato ka sawaal laazim..(2) ke nasiro ke liye raha hai hamesha rizq e halaal lazim..(2) halaal rozi kamane walo..(2) hussain tumko bula rahe hai 8. Namaz ko chhod dene walo imam ka saamna karoge..(2) amal ke baare mein kya kahoge hussain ko kya jawaab doge..(2) ghina ki mehfil sajane walo..(2) hussain tumko bula rahe hai 9. Ghira hua hai jo lashkaro mein imam e daura'n bula raha hai..(2) suna hai jab se ye isteghasa sagheer jhule se gir gaya hai..(2) ke teer par muskurane walo..(2) hussain tumko bula rahe hai 10. Ma'ashre mein madad karo tum yateem mazloom mar raha hai..(2) qamar baseerat ki aankh kholo yehi kahi par hi karbala hai..(2) juloos o majlis mein jaane walo..(2) hussain tumko bula rahe hai Labbaik ya hussain..(2)