لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala

Shadman Raza2020
ShiaNohaLyrics
Hussain ya hussain..(3) Karbala, karbala..(8) Hum aa rahe hai..(3).. Karbala Hum aa rahe hai..(3).. Karbala Maula labbaik.. Aaqa labbaik Maula labbaik.. Aaqa labbaik Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2) mashq e nusrat ke liye mashq e nusrat ke liye hai sar zameen e karbala Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2) 1. Aurte, bache hai budhe aur jawa'n bhi saath hai kudsiyo jinn o malak kaun o makaa'n bhi saath hai za'ere karbobala, Mahdi e jaa'n bhi saath hai Hussain ya hussain..(2) badh rahe hai shauq se sab shayeqeen e karbala Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2) mashq e nusrat ke liye hai arbaeen e karbala Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2) 2. Roza e Haider se hoti hai wafa ki ibteda mojiza jisko hai samjha ye hai zahra ki dua hai karodo ka juloos aur saath hai farsh e azaa Hussain ya hussain..(2) ab najaf tak bich gayi hai sar zameen e karbala Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2) mashq e nusrat ke liye hai arbaeen e karbala Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2) 3. Is ziyarat ke safar mein sahib e kirdaar hai parcham e abbas hatho mein hai sab bedaar hai aye Imam e asr nusrat ke liye tayyar hai hussain ya hussain muntaqim ke muntazir hai momineen e karbala Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2) mashq e nusrat ke liye hai arbaeen e karbala Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2) 4. Lashkar e Mahdi karo wo dabdaba ye manzilat ye najaf se karbala tak ka safar hai ma'refat marg bar taghoot hai ye marg bar sufiyaniyat Hussain ya hussain nusrat e Mahdi karo zere nageen e karbala Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2) mashq e nusrat ke liye hai arbaeen e karbala Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2) 5. Khana e kaaba ki deewaro se uttha shoro shayn aasma'n ko dekhta hai Fatima ka noor e ayn hajj ko umre mein badal kar chal diye maula hussain Hussain ya hussain..(2) aazmeen e hajj hue hai aazmeen e karbala Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2) mashq e nusrat ke liye hai arbaeen e karbala Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2) 6. Parda e ghaibat uthega mere maula aayenge gar bulaya aapne paidal bhi chal kar jayenge saath mein maa baap bache aur bhai layenge Hussain ya hussain..(2) kar qubool in zehmato'n ko aye makeen e karbala Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2) mashq e nusrat ke liye hai arbaeen e karbala Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2) 7. Ek majlis hogi rozo par pohoch kar aur bayn ek taraf abbas honge ek taraf maula hussain kaisa girya hoga kya zakir ki hogi zebo zayn Hussain ya hussain.. ek jagah hoge bahattar sama'een e karbala Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2) mashq e nusrat ke liye hai arbaeen e karbala Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2) 8. Chauda farsakh tak hume khana khilata kaun hai za'er e shabbir ko paani pilata kaun hai saaf jute karke ye aasu bahata kaun hai Hussain ya hussain..(2) Allah, Allah dekho shaan e zaereen e karbala Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2) mashq e nusrat ke liye hai arbaeen e karbala Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2) 9. Ho sharaf hasil ziyarat ka qamar maango dua shadma'n har ek qadam par bus yehi hai sochta roza e abbas dekhunga to halat hogi kya Hussain ya hussain..(2) saamne jab aayegi mere zameen e karbala Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2) mashq e nusrat ke liye hai arbaeen e karbala Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)