لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Shahe mardaa'n shere yazdaa'n

Shadman Raza2020
ShiaNohaLyrics
Ya Ali Maula, Haider Maula..(3) Shahe Mardaa'n..(3) Shahe Mardaa'n, shere yazdaa'n, quwat e parwardigaar La fatah illa ali la saif illa zulfiqar..(2) 1. Kis tarha chalti thi ran mein tegh e shere kirdigaar ashqiya'n mein har taraf se al amaa'n ki thi pukaar kar chuka jab zer marhab ko shahe dul dul sawaar..(2) aa rahi thi ye sadaa deewar o darr se baar baar Shahe Mardaa'n, shere yazdaa'n, quwat e parwardigaar La fatah illa ali la saif illa zulfiqar..(2) 2. Jis tarha koi khuda e paak se bartar nahi jis tarha koi rasulallah ka humsar nahi ek hai duniya mein haider, dusra haider nahi..(2) misle haider ye kisi ki tegh mein jauhar nahi Ek taraf saari ibadat, ek taraf haider ka waar La fatah illa ali la saif illa zulfiqar..(2) 3. Yaad karlo door kyu jaate ho kal ki baat hai jung ke maida'n mein kaam aaya wo kiski zaat hai mehwe hairat muttasil lashkar se kayenaat hai..(2) fatho nusrat aaj bhi naam e ali ke saath hai Goonjta hai, haideri naaro se dashte kaargaar La fatah illa ali la saif illa zulfiqar..(2) 4. Kaam aaya phir wohi jab sakht aaya imtehaa'n naam se jiske larazte hai zameen o aasmaa'n laakh jalta ho Ali ke karnamo se jaha'n sab se afzal aaj hai duniya mein haider ka nishaa'n Aaj bhi sajti hai seeno par yehi yaadgaar La fatah illa ali la saif illa zulfiqar..(2) 5. Juz ali tha kaun haq ke waste seena sipar kaun uth-ta tha rasulallah ki awaaz par kisne qurbaa'n kar diya rahe khuda mein apna ghar..(2) is haqeeqat se bhala hum kis tarha phere nazar Hai isi aawaaz par, takbeer ka daro madaar La fatah illa ali la saif illa zulfiqar..(2) 6. Kehte the aun o mohammad madar e ghumkhwaar se is tarha jung mein ladenge lashkar e kuffar se sab hume tashbeeh denge jafar e tayyar se..(2) bach pe jaa payega koi kya hamare waar se Khaich denge tegh se hum badr ke naksh o nigaar La fatah illa ali la saif illa zulfiqar..(2) 7. Kya koi rokega humko matam e shabbir se baandh de koi hume gar aahni zanjeer se muttasil ho jaye gardan bhi agar shamsheer se..(2) kyu na ho mehshar aqeedat shah e khaiber geer se Ya ali keh denge jab lag jayegi khanjar ki dhaar La fatah illa ali la saif illa zulfiqar..(2) Shahe Mardaa'n, shere yazdaa'n, quwat e parwardigaar La fatah illa ali la saif illa zulfiqar..(2)