لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ya sayyada ya fatima

Shadman Raza2020
ShiaNohaLyrics
Assalam o alaiki ya sayyeda, tahira, raziya, marziya, fatima Ya sayyeda, khair un nisa..(2) ya marziya, ya fatima.. Duniya tumhari khaak e paa ya marziya, ya fatima.. Ya sayyeda, khair un nisa..(2) ya marziya, ya fatima.. 1. Chakki chalayi deher ki fuqra ko nano zarr diya khud faqa kash reh reh ke bhi saael ke kaase bhar diya jo kuch bhi tha chup chap wo..(2) raahe khuda mein de diya Ya sayyeda, khair un nisa..(2) ya marziya, ya fatima.. 2. Tazeem yu baba ne ki umme abeeha ban gayi is waaste ashraaf mein tazeem tere ghar ki thi darr par tere utre malak..(2) khud chalke taara aagaya Ya sayyeda, khair un nisa..(2) ya marziya, ya fatima.. 3. Tum malik e lau laak ho aur sahib e aflaak ho tum tahira, tum marziya tum rijz se bhi paak ho bus ek teri dehleez par..(2) sajde kare sab ambiya Ya sayyeda, khair un nisa..(2) ya marziya, ya fatima.. 4. Jannat ke jo sardaar hai wo aap ke hubdaar hai jinka zamana muntazir wo aapke ghumkhwaar hai shehzadi e kaunain ki..(2) tauseef kaise ho bhala Ya sayyeda, khair un nisa..(2) ya marziya, ya fatima.. 5. Ghum tujhpe hai itne pade umme masaeb hogayi baba ka ghum Mohsin ka ghum dil mein liye hi mar gayi teri shahadat ka sabab..(2) darbaar jana hogaya Ya sayyeda, khair un nisa..(2) ya marziya, ya fatima.. 6. Baad e Mohammad aap par toote masaeb kis qadar pehlu shikasta kar gaye jo aag laaye tere ghar ummat ne baba ko tere..(2) ajr e risalat yu diya Ya sayyeda, khair un nisa..(2) ya marziya, ya fatima.. 7. Subbat alaiyya baba jaa'n kehti rahi jab fatima likhu bhala mai shadmaa'n kis tarha se ye marsiya..(2) jo zulm baqer ho gaya Ya sayyeda, khair un nisa..(2) ya marziya, ya fatima.. Assalam o alaiki ya sayyeda, tahira, raziya, marziya, fatima Haye Zahra....