لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Zainab ka jo abbas tha lashkar ke barabar

Shadman Raza2020
ShiaNohaLyrics
Haye abbas, haye abbas, haye abbas Abbas... Abbas... Abbas.. (2) Zainab ka jo abbas tha lashkar ke barabar haye haye Zainab ka jo abbas tha lashkar ke barabar Uski bhi lehed bangayi..(2) asghar ke barabar Zainab ka jo abbas tha lashkar ke barabar..(2) 1. Wo sher gira khaak pe jab pusht e faras se be dast pe talwar o sina, teer the barse woh waqt tha shabbir par..(2) mehshar ke barabar uski bhi lehed bangayi asghar ke barabar haye haye Zainab ka jo abbas tha lashkar ke barabar..(2) 2. Tukdo mein jo shabbir ka abbas bata tha aylaan sare dasht ye tab karte the aada badle bhi hue badr ke..(2) khaibar ke barabar uski bhi lehed bangayi asghar ke barabar haye haye Zainab ka jo abbas tha lashkar ke barabar..(2) 3. Gehna gaya ban mein bani hashim ka qamar bhi baad uske jhuki karb se maula ki kamar bhi jo waaste behno ke tha..(2) chadar ke barabar uski bhi lehed bangayi asghar ke barabar haye haye Zainab ka jo abbas tha lashkar ke barabar..(2) 4. Naize se bhi abbas ka sar girta raha tha dar asl taqaza tha yeh, aaqa se wafa ka kaise wo theherta sare..(2) sarwar ke barabar uski bhi lehed bangayi asghar ke barabar haye haye Zainab ka jo abbas tha lashkar ke barabar..(2) 5. Be baazu tha, be sar bhi tha, be ghusl o kafan tha rab jaane use kis tarha abid ne sameta tadfeen sare dasht ki..(2) haye tukdo ke barabar uski bhi lehed bangayi asghar ke barabar haye haye Zainab ka jo abbas tha lashkar ke barabar..(2) 6. Shabbir ke lashkar mein sab ashaab e jari the ye wasf magar khaas tha, abbas ka haaye lagta tha akela woh..(2) bahattar ke barabar uski bhi lehed bangayi asghar ke barabar haye haye Zainab ka jo abbas tha lashkar ke barabar..(2) 7. Jo bughz Mohammad se tha, Zehra o Ali se mazloom Hasan aur Hussain ibn e ali se ghazi se liye badle..(2) bhar ghar ke barabar uski bhi lehed bangayi asghar ke barabar haye haye Zainab ka jo abbas tha lashkar ke barabar..(2) 8. Nauhe ko 'Sahab' ek hi misre mein utara jab shadma'n ye roza e abbas pe bola haq tha ke lehed ho teri..(2) Haider ke barabar uski bhi lehed bangayi asghar ke barabar haye haye Zainab ka jo abbas tha lashkar ke barabar..(2) Abbas.. Abbas.. Abbas.. (2)