لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mai laash uthau ya teri qabr banau

Shadman Raza2024
ShiaNohaLyrics
Hai jalti zamee'n tu hi bata aye mere asghar mai laash uthau'n ya teri qabr banau'n rakh bhi to nahi sakta teri laash zamee per mai laash uthau'n ya teri kabr banau'n... 1. Rakhunga zamee’n per jo tujhe mere jiyale hai garm zamee’n jism pe pad jayenge chaale shabbir ko ab tu hi bata hasliyo wale khud sambla nahi jaata tujhe kaise sambhale asghar ko kaha shaah ne seene se lagakar mai laash uthau'n ya teri qabr banau'n... hai jalti zamee'n tu hi bata aye mere asghar mai laash uthau'n ya teri qabr banau'n 2. Ye baat alag hai ke taraste ho kafan ko dafnana zaroori hai bohot nanhe badan ko warna ye laee'n kardenge pamaal badan ko maa teri na seh payengi is ranjo mahan ko fir rote rahe derr talak shaah ye kehkar mai laash uthau'n ya teri qabr banau'n... hai jalti zamee'n tu hi bata aye mere asghar mai laash uthau'n ya teri qabr banau'n 3. Hai yeh bhi khabar qabr mein na chayn milega hai garm zamee'n garm hawa jism jalega paani ke bina dhoop ki shiddat na sahega gar dafn na hopaya to godho'n se rundhega laya hun tujhe isliye daaman me chupa kar mai laash uthau'n ya teri qabr banau'n... hai jalti zamee'n tu hi bata aye mere asghar mai laash uthau'n ya teri qabr banau'n 4. Ankho'n mein andhera hai nazar kuch nahi aata tooti hai kamar baith ke uttha nahi jata zanoo pe sulaa kar mai tujhe lori sunata ek haath se fir beta teri qabr banata majboor hun ab uth bhi nahi sakta mai gir kar mai laash uthau'n ya teri qabr banau'n... hai jalti zamee'n tu hi bata aye mere asghar mai laash uthau'n ya teri qabr banau'n 5. Ek boond hi paani to faqat maang raha tha sookha huwa sehroz se nanha sa gala tha jo teer teri nanhi si gardan pe laga tha wo teer mere laal tere qadd se bada tha paani na diya qatl tujhe kar diya asghar mai laash uthau'n ya teri qabr banau'n... hai jalti zamee'n tu hi bata aye mere asghar mai laash uthau'n ya teri qabr banau'n 6. Hai phool sa nazuk ye tera chand sa chehra kis dilse dabaunga isse khaak me beta mar jaunga sadme se yahi'n baap hun tera aajayega us waqt mere muu ko kaleja dalunga tere rukh pe jo mai ret utha kar mai laash uthau'n ya teri qabr banau'n... hai jalti zamee'n tu hi bata aye mere asghar mai laash uthau'n ya teri qabr banau'n 7. Al kissa qamar qabr banane lage sarwar asghar ko utha lete the rakh rakh ke zamee per aye shadma'n kehte the ajab waqt hai hum per bekafn hi dafnana padega tujhe asghar ab taab nahi baaqi mere jism ke ander mai laash uthau'n ya teri qabr banau'n... hai jalti zamee'n tu hi bata aye mere asghar mai laash uthau'n ya teri qabr banau'n Aye mere laal meri jaa'n, meri jaan asghar..(2)