لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Girya Kuna hain Fatema (sa) muslim (as) ki lash par

Shahbaz Ali Khan2019
ShiaNohaLyrics
Haye Muslim as Bine Aqeel as... 4 Girya Kuna hain Fatema (sa) muslim (as) ki lash par Aayi hain phir woh koofe mein pehlu Ko thamkar Girya Kuna hain Fatema (sa) muslim (as) ki lash par 1) Karbobala ki koofe mein Hoti hai ibteda Is tarah koofiyoñ ne musafir se ki daga Muslim Ko qatl kardiya mehmaan bulakar 2) Mazloom ki madad ke liye koi na Aya Paani bhi dame Marg na mazloom ne paya Bekas pe sitam dhate hain har aan sitamgar 3) Koofe mein koi yaar o madar gaar nahi hai Is bewatani mein koi ghamkhwar nahi hai Tanha hai laeenoñ mein shahedeeñ ka baradar 4) Besakhta ankhoñ se lahoo hogaya jaari Dil gham se CHAAK hogaya Sarwar ka us ghadi Muslim ki shahadat ki suni JIS ghadi khabar 5) Muslim ki tarah koi aseer e jafa na ho Zalim ke darmiyan koi bekhata na ho Kehti hai rooh e Fatema ashkoñ Ko bahakar 6) Ek pal na reham ahle sitam un pa khaenge Koofe mein maare jaaenge muslim ke laadle Zalim karenge tan se jUDA bekasoñ ke sar 7) Ek bewatan pe ZULM ki Hoti hai inteha Aadil QAZA ke Baad bhi kufe mein ashkiya Bazar mein phirate hain lashe Ko bandh kar