لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Turbat ko bana kar

Shahbaz Ali Khan2021
ShiaNohaLyrics
Aye Meri Sakina - 6 Zindañ mein ek Nannhi si turbat Ko Bana kar - 2 SAJJAD Bahot rote hain SAR apna jhuka kar Zindañ mein ek Nannhi si turbat Ko Bana kar -2 1) Durra na koi tumko lagayega aye behna Hun chhoot ke ab qaid se jayenge Madina Sajjad yeh kehte rahe ashkoñ ko baha kar 2) Shimr e laeeñ ne khainch ke Jo bunde utare Kaanoñ se sakina ke bahe khoon ke dhare Royi tadap ke haaye woh Ammu Ko bula kar 3) Ye dar tha ke phir shimr tamache na lagaye Hathoñ se woh rukshar ko rehti thi chupaye Giriya woh Kiya Karti thi gardan ko jhuka kar 4) Masoom ke rukh par woh tamacho ke NISHAÑ the Neele pade rukhsar se bhi khoon rawa'n the Zindañ me sitam laye haiñ kañtoñ pe chala kar 5) Qasim kabhi akbar kabhi baba ko pukara Khaye jo tamache toh chacha jaa'n ko bulaya Hansta tha bahot shimr use durre laga kar 6) Hasrat thi use jayegi ek Roz Madina Arman watan jane ka pura na ho saka Ab soyi sada ke liye zinda'n ko basa kar 7) Qaim hai ab bhi Baap se Beti ki judaayi Baba hai Karbala mein toh zindaan mein beti Dil rota hai shahbaz aur Aadil ye suna kar