لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aziyat ek jaisi thi

Shahbaz Ali Khan2022
ShiaNohaLyrics
Aziyat Ek Jaisi Thi.... 2 Haye Zahra(sa) Haye Sakina(sa) Haye Zahra(sa) Mili Dono Ko Ummat Se Aziyat Ek Jaisi Thi Sakina(sa) Aur Zahra(sa) Ki Musibat Ek Jaisi Thi Mili Dono Ko Ummat Se Aziyat Ek Jaisi Thi 1) Bana Ghar Ek Ka Yasrab Se Bahar Ghum Me Ahmed Ke Sakina(sa) Apne Baba Ko Hai Royi Qaid Khane Se Padar Se Door Rone Ki Bhi Qismat Ek Jaisi Thi 2) Gayi Darbar Jab Zahra(sa) Toh Jhoota Kehke Rulwaya Sakina(sa) Jab Gayi Darbar Baaghi Kehke Bulwaya Lagayi Waqt Ke Zaalim Ne Tohmat Ek Jaisi Thi 3) Jawa'n Zahra(sa) Thi Aur Baali Sakina(sa) Chaar Saalo'n Ki Kamar Kham Hogayi Is Umr Me In Besaharon Ki Suna Hai Inki Baalo'n Ki Bhi Ranngat Ek Jaisi Thi 4) Rulane Ke Liye Is Zulm Pe Bas Yeh Hi Kaafi Tha Kahan Woh Paak Se Chehre Kahan Woh Haath Zaalim Ka Tamache Kha Ke Rukhsaron Ki Halat Ek Jaisi Thi 5) Fadak Cheena Tha Zahra(sa) Sakina(sa) Ke Chine Gauhar Sakina(sa) Ka Jala Kurta Toh Zahra(sa) Ka Jala Tha Dar Woh Aatish Ek Jaisi Thi Woh Ghurbat Ek Jaisi Thi 6) Ali Haider(as) Ne Zahra(sa) Ki Lahad Shab Me Banayi Thi Ali Abid(sa) Ne Bhi Qaidi Bane Mayyat Uthayi Thi Rahi Dono Janazon Me Jo Shirkat Ek Jaisi 7) Kaha Zahra(sa) Ne Yeh Aaye Na Woh Jisne Jalaya Dar Sakina(sa) Ne Kaha Aaye Na Woh Jisne Chine Gauhar Jahan Se Ja Rahe The Jab Wasiyat Ek Jaisi Thi 8) Sakina(sa) Aur Zahra(sa) Me Mila Yeh Rabt Bhi Logo Samajh Ke Fatema(sa) Aise Sataya Binte Sarwar(as) Ko Yu'n Lagta Tha Raza Dono Ki Surat Ek Jaisi Thi