لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Hum wahi log hai

Shaheed Sibte Jafar2010
ShiaNohaLyrics
Hum wahi log hai - 4 Karbala se chale jab ke ahle haram Guzre ganje shaheeda se ba chashme nam Girte padte chale Abide khasta dam Pohche kufa to bole imame umam Dekhlo kufiyo hum wahi log hai Hum wahi log hai x 2 Dekhlo kufiyo hum wahi log hai 1. Khatm jis ghar pa aaker shariyat hui Aur muqammal nabuwat risalat hui Farz ummat pa jinki ita'at hui Unki ummat ke haatho ye haalat hui 2. Jinka jibrael jhula jhulate rahe Huro gilmaan lori sunaate rahe Banke saael malaaek bhi aate rahe Ambiya jinke ghar aate jaate rahe 3. Maghbate wahya hai jinka ghar wo hai hum Jinki sidra bani rehguzar wo hai hum Jo hai marzi ye rab sar ba sar wo hai hum Sajdagahe rasool jinka ghar wo hai hum 4. Hum ke Allah ki tarjamani kare Ambiya jinke ghar ki gulami kare Jibrael aaye aur jab hasayi kare Jinno inso malak madhakhwani kare 5. Tum jama jo yahan itnai afraad ho Dekh kar ham ko mushkil main kyun shaad ho ya Nabi zadiyaan hai agar yaad ho Tum hamarai ghulaamo ki aulad ho. 6. Jin ka tum dekh tai ho tamasha yahan Bint-e-Paighambare do jahan in ki maa Thi yahi pehlai kufai ki shahzaadiyaan Thi kaneezain tumhari bahu betiyan. 7. Hum ko taajo hukumat sai raghbaat kahan Hum tumhaarai bulaanai par aye yahan Mujhko pehnayai tauk-o-rassan bediyaan Hun main ibn-e-Imamo Imam-e-zaman. 8. Kaisai kaisia haseen aur piyarai gayai Mushafe-noor Quran kai paarai gayai Saamnai apni aankhon kai taarai gayai Kaisai kaisai jawa apnai maarai gayai. 9. Ghar ka ghar nazrai Karbobala ho gaya Aaj balwe mei hai itrat-e-Mustafa Qaid aur band mei hum howe mubtala Hum ko dar dar phiratai ho tum bai khata. 10. Phir rahai hai jo bazaar main dar ba dar Lutt gaya do pahar mein bhara ghar ka ghaar Hai shaheedon kai laashai pade khaak par Nok-e-naiza pa hai sab shaheedon kai sar. 11. Mai bazahir nahi faur bezaar hu Bhuka  pyasa aseer aur beemar hu Mujko majboor mat jaano mukhtar hu Par razae elahi se lachaar hu 12. Kya meri shayri aur nauha mera Mir sahab ka arse se israar tha Aap aye sibte jafar jo pursa diya Dar haqiqat ye hai sayyada ki ata