Akhri lori
Shahid Baltistani•2003
ShiaNohaLyrics
Akhri lori
(Akhri lori hai meri, jaan kar bejaa(n) hu mei) x2
Ay khuda taala na mujhko, aazmaana maa hu(n) mei
(Akhri lori hai meri, jaan kar bejaa(n) hu mei) x2
Nanne naane haath aur pyaase labo(n) ko chum kar
Mei kaha karti thi asghar, ab agar jaaungi ghar
Mei parhungi teri surat, tu kare quraa(n) hu mei
(Akhri lori hai meri, jaan kar bejaa(n) hu mei) x2
Putliya(n) ankho(n) ki meri, tujhse lay kar roshni
Itni roshan hogayi ke, bheek mange chandni
Ay mere mahtaab aja, muztar-o-girya(n) hu mei
(Akhri lori hai meri, jaan kar bejaa(n) hu mei) x2
Akhri shab hai sahar is, shab ki kya dikhlaaye rang
hay munajate khuda ya(n), us taraf tayyar jang
Tu larenga kis tarha, ada say yun hayraa(n) hu mei
(Akhri lori hai meri, jaan kar bejaa(n) hu mei) x2
Nusrat-e-shabbir to karna hai tumko bhi magar
Muskurahat tere lab par, aur udhar teer-o-tabar
Tujhpe ay nanne mujahid, isliye qurbaan hu mei
(Akhri lori hai meri, jaan kar bejaa(n) hu mei) x2
Sari maae(n) apni qurbaani karengi pesh kal
Chaahti hu tu idhar maydaan mei aise nikal
takay mei bhi keh saku ik askari ki maa(n) hu mei
(Akhri lori hai meri, jaan kar bejaa(n) hu mei) x2
Dhyaan bas itna rahe, Behr-e-weera(n) jaate huwe
Ik qatre paani peeleena jo qismat se mile
ek teri Tashna dahani, say bohot bejaa(n) hu mei
(Akhri lori hai meri, jaan kar bejaa(n) hu mei) x2
Maa(n) dua karti rahi "Rehan" jhule ke qaree(n)
laaj rukhio Madar-e-asghar ki rabbul alameen
Meri qurbani hai asghar, be sar-o-samaa(n) hu mei
(Akhri lori hai meri, jaan kar bejaa(n) hu mei) x2
Guftagu madar ki sunkar, bezubaa(n) kehne laga, kaisay so jaon main,
kay sona hai zameen-e-garm par, mei to sojaaunga, khakar teer kal
maydaan mei, haa(n) magar tum so nahi paaogi amma, Umr bhar