Haaye mei ujjar gayi
Shahid Baltistani•2003
ShiaNohaLyrics
Haaye mei ujjar gayi
Saamne behn ki ankho ke, gardan pe khanjar chalaaya, ik mazloom pyaase par, zalim ko tars na aaya
(Ha mera ujjar gaya garbaar, ha mei tanha matamdaar, haaye mei ujjar
gayi nana, haye mei ujjar gayi) x2 Ha mera ujjar gaya garbaar
(Chali dil pe mere talwaar) x2 Ab mawt ke hai aasaar, haaye mei ujjar gayi nana
Haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar, ha mei tanha
matamdaar, haaye mei ujjar gayi nana, haaye mei ujjar gayi, Haan mera
ujjar gaya garbaar
Nana teri ummat ne mere jeene ke sahare cheen liye, is karbobala ke
jangal mei, ankho ke sitare cheen liye (Mei bekas mei lachaar) x2 Sab
kunbe ki ghamkhaar, haaye mei ujjar gayi nana
Haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar, ha mei tanha
matamdaar, haaye mei ujjar gayi nana, haaye mei ujjar gayi, Haan mera
ujjar gaya garbaar
Darya ke kanaare jalta huwa, ghar aaj talak dekha ke suni,
quran-e-sar-e-neza nana, parhta huwa sar dekha ke suni (kiya bayyat se
inkaar) x2 Bhaayi pe chali talwaar, haaye mei ujjar gayi nana
Haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar, ha mei tanha
matamdaar, haaye mei ujjar gayi nana, haaye mei ujjar gayi, Haan mera
ujjar gaya garbaar
Wo shaam-e-gharibaan ka manzar, Bimar ka sholo mei bistar, wo behta
huwa kaano(n) se lahu, wo neel Sakina ke rukh par (kaano se lahu ki
dhaar) x2 Jab zakhmi the rukhsaar, haaye mei ujjar gayi nana
Haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar, ha mei tanha
matamdaar, haaye mei ujjar gayi nana, haaye mei ujjar gayi, Haan mera
ujjar gaya garbaar
Ik sheyr taraayi mei soya, jo aas tha pyaase bacho(n) ki, wo mashk
bachaane ki khatir, kurbaani degaya haatho(n) ki (parde ka zimmedaar) x2
Mara gaya aakhir kaar, haaye mei ujjar gayi nana
Haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar, ha mei tanha
matamdaar, haaye mei ujjar gayi nana, haaye mei ujjar gayi, Haan mera
ujjar gaya garbaar
Wo zulm bhi dekhe hai mene, jo din ko raat banaa dete, Mei ro na
saki aansu mere, paani mei aag laga dete (bhaayi ka tha ye israar) x2
bas sabr meri ghamkhaar, haaye mei ujjar gayi nana
Haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar, ha mei tanha
matamdaar, haaye mei ujjar gayi nana, haaye mei ujjar gayi, Haan mera
ujjar gaya garbaar
Shaano(n) pe nishaa(n) hai rassi ke, sogaat safar ye laayi hu, hai
dil mei daag-e-bahatar ke, ay nana mei dukh paayi hu (thi sang ki wo
bosaar) x2 rota tha alam bardaar, haaye mei ujjar gayi nana
Haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar, ha mei tanha
matamdaar, haaye mei ujjar gayi nana, haaye mei ujjar gayi, Haan mera
ujjar gaya garbaar
Wo ibn-e-hassan pamal-e-badan, dulha jo bana ik shab ke liye, maqtal
ki zamee(n) par uska badan, ghoro(n) ne kiya tukre tukre (sine pe zakhm
hazaar) x2 ik sar ke tukre chaar, haaye mei ujjar gayi nana
Haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar, ha mei tanha
matamdaar, haaye mei ujjar gayi nana, haaye mei ujjar gayi, Haan mera
ujjar gaya garbaar
Zainab ki sada har majlis mei, noho(n) ki zubaani aati hai, bibi ki
sada dohraata hai, jisse nawha khaani aati hai ("Rehan" mere ashaar) x2
dil-e-zainab ki hai pukaar, haaye mei ujjar gayi nana
(Haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar, ha mei tanha
matamdaar, haaye mei ujjar gayi nana, haaye mei ujjar gayi, Haan mera
ujjar gaya garbaar) x2