Akbar-e-man
Shahid Baltistani•2004
ShiaNohaLyrics
Akbar-e-man
(Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa
Ay mere raahate jaa naujawaan, Akbare maa, tujpe qurbaan ye maa naujawaan, Akbare maa, jawaan
(Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa
Saal atharwaa kya banke qayamat aaya, chand se sine pe pardes mei neza khaya, hai kahaan zakhme sinaa, bol kuch to meri jaan
(Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa
Baap ki aankhon se binaai meri aas gayi, tujko kausar ki taraf leke
teri pyaas gayi, meri tarapti hun yahaan, ay meri raahate jaan
(Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa
Waada sughra se kiya tha jo chale the garse, lout aaunga bohot jald
mei tujse milne, dhund ti hai who behen, tere kadmon ke nishaan
(Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa
Tumko athara baras naazon se jisne paala, who phuphi beton se
bharkar tumhe jisne chaha, kehti hai laut ke aa, ho gaya waqte azaan
(Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa
Khaake sine pe sina sota hai tu lakhte jigar, tere bin zindaa na
rehpaaegi teri madar, uske haathon mei rasan, jiska ho laal jawaan
(Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa
Aagayi gyara moharam hai safar zindaan ka, he pase-pusht bandhe
haath nahi sarpe rida, kya gawaara hai tujhe, thokare khaye ye maa
(Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa
Touk karta hai fughaan karti hai matam zanjeer, ashk khun rote hai
neze pe janabe shabbir, paaye Sajjad ke hai, aable nauha kunaa
(Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa
Maa ke armaan tere saath hi soye ban mei, tune sine pe sina khaayi
kuch aise ran mei, roya "Rehan" kalam, likh ke laila ka bayaan
(Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa