Haaye sakina
Shahid Baltistani•2004
ShiaNohaLyrics
Haaye sakina
Haae sakina, qaid hokar, shaam ke zindaan mei, jab aayi
Woh bachi, us andhere, ghar ki taariki se ghabraayi
Zamin to farsh thi saaya faghan tha, charkh neel aayi
Muqaddar mei musibat ki ye pehli raat dikhlaayi
Phuphi ke paas rehti thi, naa maa ke paas soti thi
Haae phuphi ke paas rehti thi, naa maa ke paas soti thi
Haae barehnaa sar khari zindaan ke darwaaze pe roti thi
Udhar se, jo guzar ta tha use kehti thi sultaan jaa
Mei bekas qaid mei baithi hun ik paigaam hai mera
Agar baba mile tujko to tu kehnaa qasam khaata
Sakina par musibat hai khabar lo ai shahe waala
Agar tujse kahen khaimon mei sota chor aaya hun
To tu kehna dare zindaan pe rota chor aaya hun
Sakina