Namaaz-e-shab
Shahid Baltistani•2004
ShiaNohaLyrics
Namaaz-e-shab
Shab ki taariki
mei, namaaz-e-shab ke baad, mera mazloom imaam, dua maang rahaa hai,
mere maula tujhe waasta, is gharib ke, ashkon ka, sukuune dil ke liye
kar, mujhe sakina ata
(Allah, Allah, Allah, Allah) x2
Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua
Allah, Allah, Allah, Allah, Namaz-e-Shab mei koi baap maangta hai dua
(Sukuune dil ke liye kar) x2, mujhe sakina ata
Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua
Diya hai sabr to mujko, karaar bhi dede, mehek batul ki haider, ka pyaar bhi dede, mei baagh baagh rahun who, mujhe kahen baba
Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua
Who mere sine pe soye, to dharkane khush ho, chale who ungli pakar
kar, to aahaate khush ho, who maang paani to haathon ko mei karun kuza
Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua
Ibadaton ka silaa tujse maangtaa hun mei, yehi to eik dua tujse
maangta hun mei, charaagh-e-khaimaa bhujaawun, to who ho misle diya
Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua
Sunaa hai beti janaaze ki hoti hai ronak, mujhe bhi chaahiye
quraane, zindagi ka waraq, mile janaaze ki rounak, baraaye karbobala
Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua
Khuda ne sunli duaae, hussein ibne ali, mili who beti jo bilkul, shabihe zahra thi, sukuun mil gaya sheh ko, sakina naam rakha
Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua
Magar sukuun ye karbobala mei jaata rahaa, huwi yateem sakina bandha rasan me gala, hussein rote the ye kehte barsare neza
Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua
Pase hussein sakina ne who sitam dekhe, tarap ke kehti thi bachi,
padar ke laashe se, chupaalo khun bhare daaman mei mujko ai baba
Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua
Sare hussein se aayi sadaa sare maidaan, namaaz-e-shab ki dua ka asar sakina jaan, karenga teri hifazat wo naam hai jiska
Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua
"Rehan azmi" kehti thi karbala ki fazaa, hai baap beti ka ye imtehaan kaisa khuda, har eik zulm pe dono ke lab pe hai ye sada
Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua