Basta ba zanjeer
Shahid Baltistani•2005
ShiaNohaLyrics
Basta ba zanjeer
(Basta ba zanjeer) x2
Jumla yateema haay
Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema
Jaltay huwe ghar lutti ridaye(n) ah hussaina
kisko sadaa de kisko bulaye ah hussaina. Haay
(Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2
Eik zanjeer-e-sitam bara aseero kay gale
Us pay ye hukm kay har peer-o- jawaan tez chalay
Ee sitam haay hussaina
Pusht pay partay rahe saath durron kay nishaan haay
(Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2
Eik beemar aseeron ka jo salaar bana
Thaame zanjeer sitam jaanib-e-darbaar chala
Ee sitam haay hussaina
Roya shabbir ka sar barsare nok-e-sina haay
(Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2
Dhoop say pyar hay saaye se sarokar nahi
Koi baanu ki tarha bekaso ghamkhwar nahi
Ee sitam haay hussaina
Kaisay asgher kay binaa saye main jayengi maan haay
(Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2
Umm-e-laila ka jigar hogaya paara paara
Us nay dekha hay jawaan lal kay dil main naiza
Ee sitam haay hussaina
Mu ko ata hay jigar sunti hay jab bhi azaan
(Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2
Eik nawshah ki mayat ke bahattar tukre
Maadare Qasim-e- muztar ki nazar say guzre
Ee sitam haay hussaina
Sar kahan jism kahan dil kahan haath kahaan haay
(Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2
Wo jo lashkar ka alamdar tha dast-e-shabbir
Bar lab-e-nehr likhi jis ne wafaa ki tahreer
Ee sitam haay hussaina
Wo nahi hai to nahi ab meray jism mein jaan haay
(Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2
Kaan zakhmi hai gala khushk jalaa hay daman
Saans leyne nahi deti hai sakina ko rasan
Ee sitam haay hussaina
Neend aati hai usay wo magar soye kaha haay
(Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2
Be ridayi ki aziyat ko uthane waale
Haay wo ale muhhamad kay gharaane waale
Ee sitam haay hussaina
Apne is haal pay bhi kar nahi paaye fughaa
(Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2
Nauha "Rehan" aseeron ki zubaan main likh kar
Is qadar roya qalam ho gaya qirtaas bhi tar
Ay meri jaan hussaina
Farshe majlis pay huwa qalbo jaan nauha kuna
(Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2