لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ghazi ko bachpane mei

Shahid Baltistani2005
ShiaNohaLyrics
Ghazi ko bachpane mei (Mere beta abbas) x3 Madine me eik raat ummul baneen bete ko lori sunarahi hai Abbas abbas abbas abbas Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye (Tere bazuo(n) ke hote) x2 Zainab na gham uthaye Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye Haider ki zawjiyat me jis din se hu mein aayi Unke labo ke mene bas ye duwa hai paayi Ya rab wo laal de jo zainab ke kaam aaye Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye Maana ke tu banega salaar-o-meer lashkar Lekin hussain ka tu bankar rahenga nokar Itna khayal rakhna sar maa ka jhuk na jaaye Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye Aka hussain ko tum bhayi kabhi naa kehna Jab tak hain saas baaqi bankar gulam rehna Meri dua hai tumko sakaayi raas aaye Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye Mein hu kaneez-e-zehra fizza se phir bhi kam hu Ye soch soch kar me bas mubtilaa-e-gham hu Tere sabab se beta zehra na ruth jaaye Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye Ye ghar hai sayyeda ka is ghar ki shaan parda Is ghar ki betiyo ko suraj na dekh paaya Shahzadiyo sar tak teri nazar naa jaaye Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye Ab karbala ka manzar raavi ne yu(n) likha hai Abbas foj-e-sheh ka salaar bangaya hai Kiski majaal hai jo sheh se nazar milaaye Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye Ashur ko hai tooti pyaaso pe kya qayamat Larne ke milna paayi jarrar ko ijaazat Abbas ja rahe hai mashko alam uthaaye Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye Ghazi ke raaste par nazre hai bibio(n) ki Aur hai dua musalsal zainab ke ye labo(n) ki Meri rida ka zamin ay kaash lawt aaye Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye "Rehan azmi" jab be dast ho ke ghazi Maqtal me girgaya tha reyti pe karbala ki Madar ki wo nasihat ghazi ko yaad aaye Abbas abbas abbas abbas