Marhaba khairun-nisa
Shahid Baltistani•2005
ShiaNohaLyrics
Marhaba khairun-nisa
(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
Bizate khairal wara ya zahra
(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
aisi maan jis pe meri maa qurbaan
jis ke qadmo ki dhul arzo samaa
jis ke bete shababe ahle jina
jiska shohar he qul ka qul imaan
baap fakhre ambhiya ya zahra
(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
aisi beti ke baap ki maa he
tu to qalbe rasul me jaan hai
teri tazim uspe lazim he
jispe utra khuda ka quran hai
ai kaneeze kibriya ya zahra
(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
jis ne gyara imaam pale hai
sehne kaaba ke jo ujaale hai
haye chaki ki wo mushaqat thi
daste zahra mai ye jo chhale hai
deen jis ke ghar pala ya zahra
(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
jo khadija ke qalb ki dharkan
khuld se jo mangaye pehrahan
tara utra jahaa salami ko
do jahan me hai wo tera angan
ye hai tera martaba ya zahra
(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
be zaron ko waqare buzar de
tashna kaamo ko jame kausar de
tu hai kono makan ki shahzadi
tu zamin ko bhi aasmaan karde
tu agar karde dua ya zahra
(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
tune jis qawm ki dua mangi
hai asar sare matami uski
khun apna bahaa rahe hai jo
chahiye unko teri khushnudi
chahiye teri raza ya zahra
(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
dil tera barsare sina bibi
girta lamhon me asmaan bibi
bad dua tu kaheen jo kardeti
khak hojata ye jahaan bibi
dub jaati karabala ya zahra
(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
hubbe shabbir me jo qatl huwe
un shaheedon ki maghfirat ke liye
teri nazre karam zaruri hai
tere baba rasul ke sadqe
kar rahe hai ilteja ya zahra
(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
roya "rehan azmi" ka qalam
likh ke qirtas par jo tere alam
karb se karbala huwa he dil
khun tapka nigah se peham
hosaka na haq adaa ya zahra
(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2