لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ali akbar-e-man

Shahid Baltistani2006
ShiaNohaLyrics
Kaha(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-maa Pura kardo na ye armaan ali akbar-e-maa Lot awo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2 Jabse tum ghar se gaye lutf-e-azaan jaata raha Lot aane ka jo wada tha wo rulwaata raha Chand lamho(n) ki hu mehmaan Ali akbar-e-man, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2 Aisi tanhaayi ke tanhaayi ko dar lagta hai Aisi manzar hai ke binaayi ko dar lagta hai Ghar mujhe lagta hai zindaan Ali akbar-e-man, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2 Tere hote huwe abaad the raste sare Teergi mei bhi the angan mei chamakte tare Zindagi hogayi veeraan Ali akbar-e-man, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2 Tu nahi ata to ik khaat hi rawana karde Mere jeene ka yahi eik bahana karde Itna kehna to mera maan Ali akbar-e-man, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2 Ab na baba se shikayat hai na amma se gila Mei to beemar hu beemar se rishta kaisa Gham ye hai phool phuphi jaan Ali akbar-e-man, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2 Meri ankho(n) mei tumhe ashk gawara hi na the Tere bin kaatu(n) ye beemar ke lamhe kaise Mawt hai samne har aan Ali akbar-e-man, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2 Qabr-e-zahra pe bhi ab jaane ki himmat na rahi Ab diya ghar mei jalaane ki bhi taakat na rahi Natawano(n) ka hai tufan Ali akbar-e-man, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2 Koyi jhoka bhi hawa ka jo idhar aata hai Mujhse pehle mera dil jaanib-e-dar jaata hai Bas hai ahat pe lage kaan Ali akbar-e-man, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2 Kya kabhi socha bahan dard se roti hongi Lot ke aawo to wo qabr me soti hongi Hai bohot iska bhi imkaan Ali akbar-e-man, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2 Ya to pardes se sughra ka kafan ley aawo Ya mere jeete huwe apni dulhan ley aawo Rakho itna to mera maan Ali akbar-e-man, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2 Kya koi apna watan chor ke yu(n) jaata hai Shaam ko ghar me parinda bhi chala aata hai Ay meri ghar ki nigehbaan Ali akbar-e-man, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2 Ghash ke aalam me bhi "Rehan" tha Sughra ka bayaa(n) Kya dam-e-marg sirhane na padhoge quran Ay mere bolte quraan Ali akbar-e-man, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2