لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ghayrat ka khuda

Shahid Baltistani2006
ShiaNohaLyrics
Ghayrat ka khuda (Ay alamdare hussain wa-abbasa) x2 Wa-abbasa, abbasa Khayme ka parda hai utha, wa-abbasa Kon chala suwe dariya, abbasa Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2 Aane ko hai qayamat, mehsoos ho raha hai Wo ghar se yu(n) chala hai, dharti pe zalzala hai, Aada ka har sipahi ye kehke bhagta hai Ghazi hai bawafa hai Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2 Chehra ali ka chehra, khushbu ali ki khushbu, Sina ali ka sina, bazu ali ke bazu Jis rukh se dekhte hai, tasveer-e-murtuza hai Ghazi hai bawafa hai Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2 Haa isne bachpane me, maa se sabak ye sikha, Shabbir ki ghulami, sab se bara hai rutba, Ye sher is sabak ko dohraye jaa raha hai Ghazi hai bawafa hai Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2 Haider he isme azam, har dard ki dawa hai Quran kehraha hai, ye naam ik dua hai Ghazi hai naam jiska haider ki wo dua hai Ghazi hai bawafa hai, abbasa, Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2 Izne vhigha nahi hai, hasrat hai bas vhigha ki Talwar sheh ne rakhli, qismat hai ashkiya ki Mashkiza bazuwo(n) ke badle bacha raha hai Ghazi hai bawafa hai Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2 Tashna labi ka alam, mojo pe gara parcham, Kabze me leke paani, lab ko nahi kiya nam Dariya se pyaas bharke, wapas jo aaraha hai Ghazi hai bawafa hai, abbasa Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2 Duba huwa lahu me, parcham jo aa raha hai, Pyaaso(n) ka farte gham se, dil ddubne laga hai Boli sakina tthero, paani wo laa raha hai Ghazi hai bawafa hai Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2 Bazu to katt chuke hai, mashkiza chid gaya hai Kya ghar ko jaye ghazi, ghayrat ka marhala hai, Haye tashnalab ka chehra nazro me ghumta hai Ghazi hai bawafa hai Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2 "Rehan" gham se ttuti, shabbir ki kamar hai, Abbase bawafa ka, duniya se ab safar hai, Lekin lahu se apne, wo likh ke jaa raha hai Ghazi hai bawafa hai, abbasa, abbasa