لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Shab-e-Taree

Shahid Baltistani2007
ShiaNohaLyrics
Ya Aba Saleh x4 Kabhi Aiy Haqeeqate Muntazar Nazar aa Libas-e-Majaz main x2 Kay Hazaron sajday tarap rahay hain meri Jabeene Niaz Main Shab-e-Tareh Be Qararay dize kay charay na daray Nafasam munday to seenay chashme mun birahe Yare Shab e Tareh, Shab e Taree 1. Ai Masihae jahan wariso mukhtaar-e-Haram Aiy meray barhway maula teri azmat ki qasam Jis tarha hay mujhay Allah kay honay ka yaqeen Is tarha hay teri ghaybat pay yaqeen e mohkam Shab-e-Tareh Be Qararay dize kay charay na daray Nafasam munday to seenay chashme mun birahe Yare Shab-e-Tareh, Shab-e-Taree 2. Apni her sans mujhay lagti hay khanjar ki tarha Hijr e malik main hun betaab main nokar ki tarha Lamha lamha mery sarkaar teri amad ka Muntazir rehta hun shabbir kay mimber ki tarha Shab-e-Tareh Be Qararay dize kay charay na daray Nafasam munday to seenay chashme mun birahe Yare Shab-e-Tareh, Shab-e-Tareh 3. Jub nai roshni payghame sahar laati hay Khud ba khud khana e kaba pay nazar jaati hay Jub nazar ata nahi hay tera jalwa maula Ho kay mayoos nazar meri palat aati hay Shab-e-Tareh Be Qararay dize kay charay na daray Nafasam munday to seenay chashme mun birahe Yare Shab-e-Tareh, Shab-e-Tareh 4. Lazzate hijr teray wasal ka aaina hay Teri furqat ka meray dil main azakhana hay Meri is baat ki behlol gawahi dengay Jo bhi deewana hay tera wo bara dana hay Shab-e-Tareh Be Qararay dize kay charay na daray Nafasam munday to seenay chashme mun birahe Yare Shab-e-Tareh, Shab-e-Tareh GUMGASHTA E MAZAR E MUHABBAT KUJAAEE YA ALI YA ALI ABA SALEH 5. Mun bakhale labat aiy doost giraftaar shudam Chashame beemar tura deedamo beemar shudam Farigh az khud shudam khoose anal haq bizadam Hamchu mansoor kahreedare sar-e-daar shudam Shab-e-Tareh Be Qararay dize kay charay na daray Nafasam munday to seenay chashme mun birahe Yare Shab-e-Tareh, Shab-e-Tareh 6. Intezaare ali kabar main jahan say guzri Apnay bhai say bichar kar jo kabhi mil na saki Appko wasta hay Maula usi Sughra ka Ub to aa jao kay ruk jain na sansain meri Shab-e-Tareh Be Qararay dize kay charay na daray Nafasam munday to seenay chashme mun birahe Yare Shab-e-Tareh, Shab-e-Tareh 7. Jub kabhi ghaib say Rehan imama ain gay Sath abbase dilawar ka alam laingay Bay ridai ka jo zaynab ki wo badla lengay Ashk sajjad ki ankhon kay bhi thum jaingay Shab-e-Tareh Be Qararay dize kay charay na daray Nafasam munday to seenay chashme mun birahe Yare Shab-e-Tareh, Shab-e-Tareh x2