لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Sakina ka shaana

Shahid Baltistani2008
ShiaNohaLyrics
Haaye zindaan jabke dukhtare shabbir mar gayi Baazu hilake baanue nawshaad ne kaha bibi padar ke sar se uthao to sar zara baate abhi to karti thi aasu baha baha saakit hai nabzo gaaye gazab sard dasto paa muh dekhte hi zist ka naksha badal gaya kis waqt saas ruk gayi kab dam nikal gaya Maa sakina ka shaana hilaati rahi.. Maut bachi ko loree sunaati rahi, maa Sakina ka shaana hilaati rahi 1) Ab na kholay gi aankhain yateema kabhi Jaanti hai Sakina ko neendh aagayi Phir bhi taqdeer ko aazmati rahi, maa Sakina ka shaana hilaati rahi 2) Be yateemi ki hai kaifiyat kis kadar Sochti hai kai baaqi hai jaa se magar Zindagi apna daman churaati rahi, maa Sakina ka shaana hilaati rahi 3) Paani layai kahan sai woh is kai liyai Tashna lab hai Sakina khabar hai usai Pyaas haunton pai aanso giraati rahi, maa Sakina ka shaana hilaati rahi 4) Apni gaudi main mayat uthayai huwai Maujazai ki umeedain lagayai huwai Syedda ki kahani sunaati rahi, maa Sakina ka shaana hilaati rahi 5) Ro rahi thi zameen ro raha tha falaq Waqt-e-talkeen sai waqt-e-tadfeen tak Minnatain ker kai us ko uthaati rahi, maa Sakina ka shaana hilaati rahi 6) Thi takallum woh ulfat ki kaisai ghari Jab andhairai main bachi ki mayyat uthi Qabar nanhi si Zainab banaati rahi, maa Sakina ka shaana hilaati rahi