لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ya zahra madarjaan

Shahid Baltistani2008
ShiaNohaLyrics
Ya zahra madarjaan..(2) ya zahra, zahra madar madarjaan 1. Biz'ate qalb e nabi umme abeeha zehra tere baba ne tujhe rutba diya maa jaisa jab utha shab ki siyahi me janaza tera qabr e sarkar e do aalam se ye aati thi sadaa Ya zahra madarjaan..(2) ya zahra, zahra madar madarjaan 2. Ye sada dete hai khud haath ke chaale tere tune hasnain ko paala hai badi mehnat se zeher shabbar ko mila yu mila mehnat ka sila khoo ugalte hue kehte the jigar ke tukde Ya zahra madarjaan..(2) ya zahra, zahra madar madarjaan 3. Phir wo din aaya ke sarwar ne madina chhoda teri turbat hui veeran basi karbobala roze ashoor azan e ali akbar sunkar ghar ki dehleez pe baithi hui sughra ne kaha Ya zahra madarjaan..(2) ya zahra, zahra madar madarjaan 4. Hogaya jung ka aghaaz sare karbobala sabse pehle gaya maidaan me hurr ka beta bhai maara gaya fir hurr bhi gaya sue jina zakhm pe shaah ne rumaal jo bandha to kaha Ya zahra madarjaan..(2) ya zahra, zahra madar madarjaan 5. Us taraf zainab e dilgeer ye karti thi dua mere farzand ho pyaase mere bhai pe fida pur asar saniye zehra ki dua hoke rahi laash bacho ki jo dekhi to ye zainab ne kaha Ya zahra madarjaan..(2) ya zahra, zahra madar madarjaan 6. Laut kar aaya na saqqa e haram darya se hogaye haath qalam teer kaleje me lage hogaya thanda alam sheh ki kamar toot gayi tod kar kooza sakina ne kaha rote hue Ya zahra madarjaan..(2) ya zahra, zahra madar madarjaan 7. Ek kohraam bapa khaima e sarwar me hua ghar se atthara baras wala jo maqtal ko chala barchi akbar ke kaleje se jo sheh ne khaichi haath seene pe rakha aur ye akbar ne kaha Ya zahra madarjaan..(2) ya zahra, zahra madar madarjaan 8. Door bano se hua haaye wo nanha baccha loriya deti hai besheer ko ab khaak e shifa che mahine ke mujahid pe qayamat guzri teer khakar ali asghar ke tabassum ne kaha Ya zahra madarjaan..(2) ya zahra, zahra madar madarjaan 9. Sheh ne rehan rakha sajda e mabood me sar shimr ka chalne laga sukhe gale par khanjar yaad aane lagi maa alame tanhai me rukh baqiyya ki taraf karke pukare sarwar Ya zahra madarjaan..(2) ya zahra, zahra madar madarjaan