لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ghabrayegi zainab

Shahid Baltistani2009
ShiaNohaLyrics
Ghabrayegi zainab – 2 Bhayya tumhe ghar jake kaha, paayegi zainab Ghabrayegi zainab Ghabrayegi zainab – 4 Pardes hai gurbat hai – 2 kaha jayegi zainab Ghabrayegi zainab – 4 1. Tum saniye zehra ki garibi ko samajna Gaazi ki kasam hai tumhe bhai na tadapna beparda teri laash pe jab aayegi zainab 2. Kis tarha guzarungi qayamat ka wo lamha jab shaame gariba me mera bhai na hoga baba se nigahe na mila paayegi zainab 3. Insaaf karo kaise behen dil ko sambhale is gunj ka ehsaas muje maar na daale baagi ki behen shaam me kehlayegi zainab 4. Tum meri tarha gam ye akele hi sahoge wada karo ye baat na bano se kahoge zindaan me sakina ko jo dafnayegi zainab 5. Dekhi nahi jaayengi wo mayoos nigahe sughra jo use deti hai jine ki duayen Akbar ke bina jab bhi watan jaayegi zainab 6. Kya kya hua bazar me batlaungi kaise Abdullah – e – jafar ko mai samjaungi kaise jab nil rasan ke unhe dikhlayegi zainab 7. Bhai pe nazar karke takallum wo pukari bhayya mai samajti hu tabiyat ko tumhari accha ye sada lab pe nahi laayegi zainab