لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Hussain Jaan

Shahid Baltistani2009
ShiaNohaLyrics
aye karbala khyal rakhio teri aaghosh main sota hai hussain ik zaeef maa ka ik zaeef beta hai hussain aur ik yateem beti ka ik yateem baba hai hussain mera mazloom mera beqas mera pyasa, (pyasa hai hussain *2) haye awaaz ye aati hai sar-e-karbobla jaisay karti ho koi maa koi beti girya jis tarha koi bahan roy kahai wa waila ya nabi katal hua aap ka pyara beta hay hussain jaan (*6) aai awaaz-e-nabi ye dosara maktal mai meray bachay tujhai aai hai qaza jangle mai aey mere noor-e-nazar kushta-e-taigh-e-jafa hay hussain hay hussain jaan (*6) hath pahlu pe rakhai daiti thi zahra ye sada chakia pees ke is maa ne tujhai pala tha mairi godi mai hua sar tera tan se juda hay hussain hay hussain jaan (*6) waqt-e-aakhir bhi tha zainab ke laboon par ye sukhan hay bhai tujhai jee bhar ke nai roee bahan tishnagi baqi rahi aa gai mujh ko qaza hay hussain hay hussain jaan (*6) mere baba ki khata kya thi bta aey zaalim koi chadar tan-e-be sar pe aurha de zaalim soy gi beti kaha thi sakeena ki sada hay hussain hay hussain jaan (*6) aik nanhi si lahad jo hai sar-e-dashat-e-bla is mai jo sota hai us bachay ka zakhmi hai gla apne baba ke liay roh-e-asghar ne kaha hay hussain hay hussain jaan (*6) ashq-e-gham kehtay hai is baat mai sachai hai baat rehan jo darwaish ne samjhai hai dil bhi kahta hai mera yeh hai tasbeeh-e-khuda hay hussain hay hussain jaan (*6)