لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Nade ali

Shahid Baltistani2009
ShiaNohaLyrics
Ya ali..(10) Ya ali madad..(2) Mushkil me hai mushkil se ye bachne ka saliqa..(2) hai roze azal se  yahi nabiyo ka wazifa ali ya ali..(4) naade aliyan mazharal ajaeb..(4) 1. Pehra ilahiyaat pe nade ali ka hai ek khauf mushkilaat pe nade ali ka hai saaya ajaebaat pe nade ali ka hai ehsaan kayenaat pe nade ali ka hai hai wird dhadkano ka yahi ya ali madad nade ali se waqf bani ya ali madad ali ya ali..(4) 2. Wo kaun hai ali ne kaha hai jise ali jiske qadam qadam se lipat kar wafa chali jisne sipahe shaam se har saans cheenli ummul bani ka chaand wo waliyo ka hai wali kehti hai karbala ye ta'arruf usi ka hai abbas naam dusra nade ali ka hai abbas alamdar..(2) abbas alamdar shehenshahe madina abbas alamdar..(2) 3. Bedast jab ye sher gira farsh e khaak par khaime ki simt sharm ke maare na ki nazar ek aah bhari aur, kaha aaqa alvida kehne lage husain kamar apni thaam kar naade aliyan.. 4. Us din laraz rahe the zameen aur aasmaan khaime se dekhti rahi kadiyal jawa ki maa sheh khaichte the sinae akbar se jab sina bano ke kaanpte hue hoto'n pe tha rawaa naade aliyan.. 5. Dhalne lagi jo daste musibat me dopahar sajde me the husain sitamgar tha pusht par ek bibi thi tawaf jo karti thi nange sar zainab tadap ke reh gayi manzar ye dekh kar ankho me bekasi ka andhera sa chhaa gaya besakhta zabaan pe zainab ki aagaya naade aliyan.. 6. Tey hai ye baat mir takallum wo aaenge naade ali ka daur jaha ko dikhaenge jis roz izn fatema zehra ka paenge maula ye keh ke pardae ghaibat uthaenge awwalona mohammad awsatona mohammad akheruna mohammad wa kulluna mohammad man kunto maula hu fahaza aliyun maula..(2) ali ya ali ..(3)