لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Al-madad Ya Zahra

Shahid Baltistani2010
ShiaNohaLyrics
Almadad ya zehra (lyrics) Fatema zahra...(6) Haye haye zainab haye haye shaam Sham ko jate hue...(2) Kehti thi saniye zehra... Almadad ya zehra...(8) Sharm aati thi mujhe mai,baap se na kehsaki Aap maa hai jaanti hai,kaifiyat dil ki meri Ho gai binte ali...(2) Na mehramo'n mei be parda Almadad ya zehra Bekasi dikhla rahi hai,kya qayamat ka samaa Mar na jaye gham se makhtal,mei kahi asghar ki maa Kaise dekhegi bhala...(2) Naize pe jism asghar ka Almadad ya zehra Duur naa hone diya tha,apni nazro se jise Us jawa bete ko laila,alwida kaise kahe Laash e akbar saamne...(2) Rone pe hai laga pehra Almadad ya zehra Hathkadi hatho me hai,aur bediya hai pao mei Ab kaha mohlat milegi,baithne ki chhao me Sham tak sajjad ka...(2) Kaanto se hai hai bhara rasta Almadad ya zehra Ladkhadate hai kadam,aur ankh mei ansu bharo Marhala dushwar hoga,ye rukaiyya k liye Lasha e abbas se...(2) Guzregi kaise be parda Almadad ya zehra Dasht me takseem kaise,hogaya wo mehjabeen Sar kahi tukde kahi hai,aur sehra hai kahi Apne qasim ko bhala...(2) Pehchane kistarah farwa Almadad ya zehra Berida binte ali hai, bekafan ibne ali. Sham jae ya sambhale, laash ko shabbir ki Kaanpte hoto'n pe ye...(2) fizza ke isteghasa thha Almadad ya zehra Sharm aati thi mujhe mai,baap se na kehsaki Aap maa hai jaanti hai,kaifiyat dil ki meri Ho gai binte ali..(2) Na mehramo mei be parda Almadad ya zehra Dasht me aun o mohammad,ki takallum thi sada Bhar na aaye maa ka dil laa,she chhupa de ai hawa Ruk na jaen ye kadam..(2) Hai sakht imteha'n maa ka Almadad ya zehra Haye haye zainab haye haye shaam..(3) Fatema zehra...(3)