لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Hussain kal bhi tha mazloom

Shahid Baltistani2011
ShiaNohaLyrics
Haye mazlum Hussain x 4 Haye Hussain ya hussain haye hussain shah hussain Halmin nasir yansurna x 2 Deene islam hai yu hazrate shabbir ke saath Jaise Quran baya hota hai tafseer ke saath Kya sitam ho gaya islam ki taqdeer ke saath Qatl shabbir hue narae takbeer ke saath Kal talak zulm hue deen ke madadgaro par Aaj hote hai sitam sheh ke azadaro per hussain kal bhi tha mazloom aur aaj bhi hai x 2 sitam ki zid pe hamara imam aaj bhi hai aza ke farsh ka hal min payam aaj bhi hai hussain kal bhi.... nazar may phirte hai karbobala ke sab manzar zameen pe bikhra hua tha hussain ka lashkar kahin kate hue bazu kahin kate hue sar gali gali may wohi qatle aam aaj bhi hai hussain kal bhi.... juloose girya-o-matam pe zulm itne huve sitam ke maare hue ab khoon may doobe huve barasti dhoop may maon se bache litpe huve sawaal karte hai kya fauje sham aaj bhi hai hussain kal bhi.... huve thay jis tarha qasim ke laash ke tukde shaheed hote hai yuhin ghulam qasim ke janaze unke bhi kandhon pe uth nahi sakte ye gathriyon ke kafan ka nizam aaj bhi hai hussain kal bhi.... hussain kehne pe zainab ko taziana laga phir uske baad na aziyat ka silsila na ruka Halmin nasir yansurna - 2 Haay naam veer hussain da lendi rahi jiwe zainab durre khaake - 2 Shabbir da matam gam khwara - 2 Enjekita ya hussain... Enje kita sar katwake hayee usi ko maar diya jisne ya hussain kaha yazeed zadon ka jaari wo kaam aaj bhi hai hussain kal bhi.... imame asr ki faryaad ab bhi hai akbar zamana hogaya veeran fatema ka hai ghar lahoo ke ashk bahata hai abide muztar mere gharane pe ghurbat ki shaam aaj bhi hai hussain kal bhi....