لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abbas ka hu beta

Shahid Baltistani2014
ShiaNohaLyrics
Ya husain haay husain Ya husain ya husain Ana ibnul Abbas - 4 Mera naam Mohammad hai Abbas ka hu beta..(2) Akbar se Mujhe pehle de izne wigha maula Mera naam Mohammad hai Abbas ka hu beta..(2) Ghaazi ki dua mai hu Naukar hu mai asghar ka Naqsha me badal dunga nau laakh ke lashkar ka Siffin sunakar hai..(2) Amma ne Mujhe paala Zainab ke hai do bete sadqa Ali akbar ka Daadi ne madine me mujhko ye bataya tha Zainab ke Jo bete hai..(2) Dono ka hu mai sadqa Akbar ki tarah maula qasim mera aaqa hai Sehra mere aaqa ka armaane sakina hai Marjaunga jiteji..haay(2) Kubra Jo hui bewa Khaimo me bapa maula ek shor-e-qayamat hai Darya ki taraf jau kya mujhko ijazat hai Shehzadi ko ab pyasa..(2) Mai dekh nhi sakta Sajjad ke pehlu me khamosh Jo baitha hai Wo uski zaifi ka ghurbat me Sahara hai Bach Jae mera baqir..(2) Mai uspe Maru maula Qurban hua yawar Abbas ka shehzada Aur shukr ka ghazi ne us waqt kiya sajda Maqtal se sada aai..(2) Sad shukr mere maula Ya husain ya husain..(2)