لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ghazi ka salam aaya

Shahid Baltistani2014
ShiaNohaLyrics
Ghaazi ka Salam aaya..(4) Fizza Teri Wafa ko ghaazi ka Salam aaya haay Fizza Teri Wafa ko ghaazi ka Salam aaya Zahra ki betiyo ka, tune qadam qadam par Hai saath Jo nibhaya Fizza Teri Wafa ko ghaazi ka Salam aaya..(2) Zainab ki zindagi ki karti rahi duae Khati rahi hai pathar sehti rahi jafae Bazar ho ya galiya, Darbaar ho ya zinda Shikwa na lab pe aaya Darya pe Koi laasha pehlu badal raha tha Pardes me Ali ka ghar baar jal rha tha Zainab ke sath milke, sholo pe chalke tune Sajjad ko bachaya Nauke sina se dekha shabbir ne ye manzar Karbobala se lekar taa shaam Har kadam par Zalim ka taziyana, Apne kamar pe tune Zainab se pehle khaya Zainab Gai jaha bhi tu sath me Gai hai Saye ki tarah Har pal tu dhoop me rahi hai Qurbaniyo ko Teri sab maante hai bibi Apna ho ya paraya Baba ko yaad karke roti thi jab sakina Har baar usse kehti sabir bohot thi Zahra Makhdooma ke masaeb, Har shab suna ke tune Bachi ka dil badhaya Choda na unka daman jab tak rahi hai zinda Izzat hai Mustafa ki zainab ho ya sakina Tune samajhke Zahra, Har bibi ki lahad par Shab bhar diya jalaya Bimaare karbala jab thak kar Kahi pe baitha Aakar qareeb tune dekar use dilasa Kaate Kabhi nikale, Chhalo pe aasuo ka Marham Kabhi lagaya Pardesiyo ki tarha tu ab bhi shaam me hai Ghar jaati Kis tarah se zainab bhi shaam me hai Lagta hai ye takallum, binte Ali ke sar par Abhi hai tera saaya Fizza Teri Wafa ko ghaazi ka Salam aaya..(2) Haay fizza