لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aayi zehra ki sada

Shahid Baltistani2015
ShiaNohaLyrics
Fatima zahra..(2) Zahraa.. Fatima zahra..(2) Sayyeda tahera..(2) Sayyeda.. Ya ghareeb ya husain..(6) Aai zahra ki sada pyasa hai bacha mera shimr khanjar na chala..(2) Jurm kya isne kiya Kuch to kar khaufe khuda Mujhpe ye zulm na dha.. Aai zahra ki sada.. 1. Ghar jalaya, mere mohsin ko bhi mara tumne Zeher shabbar ko pilaya tumne Meri beti ke liye Hai nigehbaan bacha Aakhri beta mera 2. Soch kar neend me ye pyaas se jaage na kahi Paani lekar mau khadi rehti thi Kis tarah dekhe ye maa Tu sirhane pe yaha Leke khanjar hai khada 3. Mera bacha jo sue khaima nazar karta hai Yaad abbas use aata hai Zere khanjar bhi yahi Iske lab par hai sada Haaye zainab ki rida..hayy 4. Mai sakina se tujhe maang ke laadungi gauhar Lele sab ehle haram ke zevar Maa ka phat-ta hai jigar Itni tauheen na kar Payr seene se hata 5. Haath pyase ki na gardan se hatayegi ye maa Apne bache ko bachaegi ye maa Ab nhi fikr mujhe Haath kat jae mere Katne dungi na gala 6. Baad maa ke jo behen shaah ki maa jaisi thi Jis ghadi khaime se wo nikli thi Khushk tha sheh ka gala Zere lab itna kaha Jaa behen khaime me jaa 7. Qatl madar hui, hamsheer bhi, beti bhi hui Jab churi shaah pe akbar ki chali Kya qayamat tha sama Tanha mazloom kahan Qatl khanjar se hua Ya ghareeb yaa husain..(2)