لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Rassi mein gala hai baqar ka

Shahid Baltistani2015
ShiaNohaLyrics
Chal pada karbobala se jab husaini qafela ek rasan mein pusht e abid aur tha baqar ka gala saans khanjar ki tarah mehsoos jab hone lagi apne babajaan se rokar ye Baqar ne kaha Aye mere baba.. Aye mere baba Rassi mein gala hai Baqar ka Tu holay holay chal baba ..(2) Mushkil hai safar mar jaauga ..(2) Tu holay holay chal baba Aye merai baba ..(2) Rassi mein gala.. 1. Padhni hai namaz e mazloomi, Baba tu imamat karta ja Khud dhoop bhi ham pe roti hai, Jalta hai mussala reti ka Mai shukr ka sajda kar lu ada, Tu holay... Aye mere baba.. Aye mere baba Rassi mein gala hai Baqar ka Tu holay holay chal baba 2. Kulsoom, Sakina, Zainab hai, Aur saath Ruqqaya bibi hai Is ek rasan mein Aye baba, Har umr ki Zahra(sa) qaidi hay Girti hai meri amma Fizza, Tu holay... Aye mere baba.. Aye mere baba Rassi mein gala hai Baqar ka Tu holay holay chal baba 3. Ab dhoop mein itni shiddat hai, Jalte hain aseeri ke zewar Pani to nahi hai ansoo hai, mein un pe chidak dunga aa kar Aaram tujhe mil jaye ga, Tun holay... Aye mere baba.. Aye mere baba Rassi mein gala hai Baqar ka Tu holay holay chal baba 4. Ankho'n se rawaa'n hai khoon tere, Jo teri phuphi hai be parda Meri bhi phuphi hai be chadar, Woh naam Sakina hai jis ka Khinchta hai rasan se us ka gala, Tu holay... Aye mere baba.. Aye mere baba Rassi mein gala hai Baqar ka Tu holay holay chal baba 5. Islam bachane ki khatir, Nikli hai sharafat be chadar Paoon ke chhaale rote hain, Chalti hai imamat kanto'n par Ye pehla safar hai Zainab ka, Tu holay.. Aye mere baba.. Aye mere baba Rassi mein gala hai Baqar ka Tu holay holay chal baba 6. Dekha nahi jaata Aye baba, Mujh se ye qayamat ka manzar Rukti hai kabhi chalti hai kabhi, Zainab ke badalte hai tewar Ye Shaam ko jata hai rasta, Tu holay holay chal baba Aye mere baba.. Aye mere baba Rassi mein gala hai Baqar ka Tu holay holay chal baba 7. Gir gir ke jo chalti hai Zainab, Mehsoos mujhe bhi hota hai Sajjad pukare Aye beta, Mera bhi kaleja phat-ta hai Jab sunta hoon tera noha, Tu holay holay chal baba Aye Mere Beta..Aye mere beta Rassi mein gala hai Baqar ka Tu holay holay chal baba 8. Gar tez chala to Aye beta, Bazar e sitam aa jaye ga Aahista agar beemar chale, Durron ki azziyat payega Aur tere labon par hai beta, Tu holay holay chal baba Aye Mere Beta..Aye mere beta Rassi mein gala hai Baqar ka Tu holay holay chal baba 9. Manzoor azziyyat hai mujh ko, Baqar ne Takkalum di ye sada Har kaam mein teri marzi hay, Tu jaise chahai chal baba Mai ab na kahoon ga Aye baba, Tu holay holay chal baba Aye mere baba.. Aye mere baba Rassi mein gala hai Baqar ka Tu holay holay chal baba Haye baba....