لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Sughra ne likha

Shahid Baltistani2016
ShiaNohaLyrics
Karbala mein jo khate fatima sughra aaya padhke ye baat bohot shaah ko rona aaya hashr mein hogi mulaqat hamari baba arey ab na jee paaegi beemaar tumhari baba Sughra ne likha baba, mushkil hai mera jeena jab laut ke aaoge, haye meri qabr pe aajana jab laut ke aaoge, meri qabr pe aajana 1. Jab doobta hai suraj, dil doobne lagta hai veeran hai sab hujre, ghar qabr ke jaisa hai hai mere muqaddar mein, tanhai mein marjana jab laut ke aaoge, meri qabr pe aajana 2. Hai paas ajal mere, tum door ho sughra se hasrat ye liye baba, jaati hu mai duniya se kaandha to janaze ko, mumkin na huwa dena jab laut ke aaoge, meri qabr pe aajana 3. Aata hai palat kar jab, pardes se ghar koi maloom hai sughra ko, hoti hai thakan fir bhi aye baba meri khatir, zehmat ye utha lena jab laut ke aaoge, meri qabr pe aajana 4. Aakar meri turbat par, sab shamma jalaenge aur bhai sirhane par, yaseen sunaenge hojaega is tarha, aabad wo veerana jab laut ke aaoge, meri qabr pe aajana 5. Ae kaash madine mein, wo paas mere rehta sughra ke janaze par, ek bhai to ro leta baba mere asghar ko, turbat meri dikhlana jab laut ke aaoge, meri qabr pe aajana 6. Bhai ki mohabbat par, na harf koi aaye maloom na ho unko, ye raaz hi reh jaaye marne ka sabab meri, bhabhi ko na batlana jab laut ke aaoge, meri qabr pe aajana 7. Rukh hoga lahad mein bhi, aye baba suwe qibla mai qabr mein jaakar bhi, dekhungi tera rasta acha mere vaade ko, tum yu hi nibha lena jab laut ke aaoge, meri qabr pe aajana 8. Karti thi takallum wo, ye bayn qayamat ka dastoor nahi hota, murde se mohabbat ka amma ko magar baba, paigham ye pohchana jab laut ke aaoge, meri qabr pe aajana