لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Wada Darvesh

Shahid Baltistani2017
ShiaNohaLyrics
Ya fatema zehra - 5 Kiya hai wada jo zehra se wo nibhana hai - 2 Ke jaan jaye to jaaye - 2 ke ghar jale to jale Kiya hai wada jo zehra se wo nibhana hai - 2 1. Ham apne baccho ko lekar chalenge sholo per - 2 Chalenge sholo per Zamana aag ke maatam se ab jale to jale 2. In aansuo ki kharidar hai hussain ki maa - 2 Hai hussain ki maa Hamare rone pe duniya agar hase to hase 3. Juloos ruk nahi sakta kisi bhi keemat per - 2 Kisi bhi keemat per Hamari saaso ka chahe safar ruke to ruke 4. Misaal hur ki hai maujood har bashar ke liye - 2 Har bashar ke liye Jo hurmala ke qabile me ab rahe to rahe 5. Kisi yazeed ke aage wo jhuk nahi sakta - 2 jhuk nahi sakta Hussainiyat ki baqa me ye sar kate to kate 6. Kahi na jaayenge maula ko chhodkar ansaar - 2 Chhodkar ansaar Charage khayma jale to jale buje to buje 7. Lahad ki zahra pe ummul baneen ne ki thi dua - 2 Bas yahi thi dua Tumhara ghar na lute mera ghar lute to lute 8. Dua ye karti thi zaynab hussain bach jaaye - 2 Hussain bach jaaye Gale pe beto ke mere churi phire to phire 9. Karenge sajda ye aansu hussain ke dar per - 2 Hussain ke dar per Kisi ko meer takallum bura lage to lage