لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Bazaar mein be parda

Shahid Baltistani2019
ShiaNohaLyrics
Sayyeda, Tahera..(4) Wa hijaba, wa ghurbata..(3) Wa hijaba, wa ghurbata, wa ghurbata Bazaar mein be parda nabi zaadi khadi hai har mod pe marne ki..(2), dua maang rahi hai bazaar mein.. 1. Hai haatho'n mein patthar abhi aayi nahi zainab..(2) bazaar mein pehle se..(2), hi ek bheedh lagi hai 2. Is ghum ki azeeyat koi sajjad se puche..(2) bachpan mein sakina ki..(2), kamar kaise jhuki hai 3. Haaye.. Bazaar se lagta hai guzarte hai janaze khamosh har ek bibi hai marne ki kami hai 4. Hai akhri manzil ise darbaar na samjho..(2) maqtal ki taraf shaah ki..(2), hamsheer chali hai 5. Tasbeeh ke daano ki tarha ek rasan mein..(2) har umr ki zahra..(2), hai jo paband khadi hai 6. Naam aata hai zainab ka sharabi ki zubaa'n par..(2) Asa na ronde gal muk wendi, iya gaal jigar ku kha gayi..(2) darbaar di peshi rabba bibi zainab di..(2) sade sabbe araam, araam, haye araam muka gayi Naam aata hai zainab ka sharabi ki zubaa'n par Sajjad ki ghairat pe..(2), qayamat ki ghadi hai 7. Khoo'n rone ko Qaem ke ye kaafi hai takallum..(2) Zainab ki taraf dekh ke..(2), duniya ye hasi hai Bazaar mein be parda nabi zaadi khadi hai..(2) Sayyeda, Tahera..