لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Wo haath kat gaye

Shahid Baltistani2019
ShiaNohaLyrics
Nauha Lyrics <lyricsnauha@gmail.com> Nov 13, 2018, 9:48 PM to me Tanhaiyaa'n, sargoshiyaa'n..(2) Haan sakina ki hai ye fughaa'n..(2) Meri gardan mein bandhi gayi rassiya'n Mere kaano se nochi gayi baliya'n Khoon behta raha... Haa Dard behta raha... Haa Taziyane la'eeno ke aur wo jafa Bhool payi sakina kaha'n..(3) Mujhko kaan'to pe paidal chalaya gaya Baap ka sar dikha kar rulaya gaya Tga wo kaisa safar..  Haa Bibiya'n nange sarr... Haa Ek ek zakhm se khoon behta raha Bhool payi sakina kaha'n..(3) Mai jo royi to mujhko tamache lage Thak ke soyi to abid ko durre lage Beech bazaar mein.. haa Shehre aghyaar mein.. haa Haye sadaat ka jo tamasha bana Bhool payi sakina kaha'n..(3) Bola darbaar mein aake yu ek shaqi Tu kanizi mein jaa hakime waqt ki Kaisa lamha tha wo.. haa Kaisa sadma tha wo.. haa Roke us dum pukari mai haaye chacha Bhool payi sakina kaha'n..(3) Mere baba ka sar tasht mein tha rakha Usse gustakhiya'n karte the ashkiya'n Koi haami na tha.. haa Kisko deti sadaa.. haa Ek ghayyur bete ko ghaiz aa gaya Bhool payi sakina kaha'n..(3) Raah mein paani aata mayassar agar Daal deti thi abid ki zanjeer par Har qadam ek jafa.. haa Rona bhi jurm tha.. haa Darmiya'n shamiyo ke thi aale abaa Bhool payi sakina kaha'n..(3) Pucha hakim ne darbaar mein shimr se In aseero mein bint e ali kaun hai Ro rahi thi phuphi.. haa Thi wo kaisi ghadi.. haa Naam phuphiyo ka leta tha wo be haya Bhool payi sakina kaha'n..(3) Dil pe patthar rakha aur jeeti rahi Taziyane laeeno ke sehti rahi Dushmano ka watan.. haa Mai aseere mahan.. haa Jis jagah ek lamha tha ek saal sa Bhool payi sakina kaha'n..(3) Kamsini aur aseeri wo zindaan ki Jis jagah maut bhi aake rone lagi Yaad nashtar bane.. haa Khaak bistar bane.. haa Phir ye zindaan meri lahad ban gaya Bhool payi sakina kaha'n..(3) Ek paigham hai zaero'n ko yehi Shab ko bibi ke roze pe jao kabhi Ro rahi hai waha'n Ab bhi tanhaiyaa'n Sunke aaye hai farhan o mazhar sadaa Bhool payi sakina kaha'n..(3) Haye abbas, haye abbas..(2) Haye abbas, haye haye abbas, haye abbas Wo haath kat gaye..(2) Ghurbat mein the jo shaah ki behno ka aasra Wo haath kat gaye.. Ghurbat mein the jo shaah ki . Pehra sadaa jo dete the..(2) Zahra ki aal ka Wo haath kat gaye.. Ghurbat... 1. Khushiya manao saamne lashkar mein shor tha Ab humko koi rokne wala nahi bacha Lo hogaya hussain ki ghurbat ka faisla Wo haath kat gaye.. 2. Haste the shami dekh ke aasu hussain ke Haye shikasta hogaye baazu hussain ke Tooti kamar jo shaah ki lashkar samajh gaya Wo haath kat gaye.. 3. Maidaan mein hussain ko jinki talaash hai Haye do haath hai ya sheh ke bhare ghar ki laash hai Is ghar ke pardedaro ne samjha ke be rida Wo haath kat gaye.. 4. Dukhtar ke ye madine ka abbas ne kaha Haye amma muaaf karna mai majboor ho gaya Ab tak yehi imam ke qadmo me jo sada Wo haath kat gaye.. 5. Akbar tadap rahe hai mera dil hai beqaraar Ro ro ke shah kehte the zainab se baar baar Laasha uthake laate jo kadiyal jawaan ka Wo haath kat gaye.. 6. Hai teer aankh mein meri rasta bataiye Haye ghazi pukara mashk e sakina bachaiye Baba najaf se aaiye imdaad ko zara Wo haath kat gaye.. 7. Hasrat se dekhti hai sakina sue faraat Haye do haath bhi tadapte hai laashe ke saath saath Jo haath rok sakte the shimr e laeen ka Wo haath kat gaye... 8. Qasid ki baat par to takallum yaqee'n na tha Haye dekhe jo neel haatho pe zainab ke jaa ba jaa Akhir yaqeen maadar e ghazi ko aagaya Wo haath kat gaye..