لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abbas ka Alam

Shahid Baltistani2020
ShiaNohaLyrics
Aye alamdaar e hussain... wa abbassa wa abbassa, abbassa..(2) Parcham e abbas hi parcham e islam hai..(2) Abbas ka alam hai, qaumi nishaa'n hamara..(3) Ye parcham e nabi hai..(2) humko hai jaa'n se pyaara Abbas ka alam hai, qaumi nishaa'n hamara..(2) 1. Humza e Murtaza ne, Jafar ne bhi uthaya abbas tak ye parcham yu haath o haath aaya baazu katake isko..(2), abbas ne sawara Abbas ka alam hai, qaumi nishaa'n hamara..(2) 2. Do tukde chand kar de panje mein itna dum hai taara jaha'n pe utra, us ghar ka ye alam hai uski bulandiyo par..(2), qurbaan chand taara Abbas ka alam hai, qaumi nishaa'n hamara..(2) 3. Pabandi sarhado ki naa qaid hai zubaa'n ki bus ye khususiyat hai abbas ke nishaa'n ki duniya mein ye alam hai..(2), mazloom ka sahara Abbas ka alam hai, qaumi nishaa'n hamara..(2) 4. Saanso ki dor iski dori se hi bandhi hai baab e karam yahi hai, baab e ataa yahi hai isse muraade lene..(2), aaye jahaan saara Abbas ka alam hai, qaumi nishaa'n hamara..(2) 5. Chauda so saal se hai iski yahi kahani yeh fatha ki hai aayat, yeh jeet ki nishani isko uthane wala..(2), haarega na aur na haara Abbas ka alam hai, qaumi nishaa'n hamara..(2) 6. Islam ka ye parcham Allah iska zamin kab se utar rahe hai sar momino ke lekin apne gharo se humne..(2), parcham nahi utara Abbas ka alam hai, qaumi nishaa'n hamara..(2) 7. Abbas ka ye parcham ab tak lahu bhara hai zainab se ye takallum Mahdi tak aagaya hai laenge saath apne..(2), Qaem ise dobara Abbas haye abbas, haye abbas, haye abbas Alam bhai ka lahu mein bhara utha laye jab shahe karbala qayamat bapa haram mein hui tadapne lagi nabi zadiya'n suni jab sakina ne ghum ki khabar tadap kar ye pucha kaha'n hai chacha kaha shahe dee'n ne mera ghar luta sakina tumhara chacha naa raha Yateemo ka jab suna ye baya'n tadapne lagi nabi zadiya'n yateemo se ye kaha shaah ne wasiyat ye thi mere bhai ki na le jana khaimo mein laasha mera hai pyaso se sharminda unka chacha ye kehkar alam, behen ko diya.. ye kehkar alam, behen ko diya.. takaza kare na koi pyaas ka alam hi janaza hai abbas ka alam hi janaza hai abbas ka sakina tumhara chacha na raha