لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Taweez - Maula Qasim

Shahid Baltistani2020
ShiaNohaLyrics
Ya Hasan, Ya Hussain..(4) Aye mere bhai hussain..(2) Aye maa ke dulare Baba ke laadle..(2) Taweez mein hasan ne yeh rokar likha hussain rokar likha hussain Qasim ko karbala mein..(2) nahi rokna hussain.. haye Haye qasim, haye haye qasim..(2) Taweez mein hasan ne yeh rokar likha hussain rokar likha hussain 1. Akbar ko isse pehle naa, maqtal mein bhejna..(2) nana ka de raha hu..(2), tumhe waasta hussain Haye qasim, haye haye qasim..(2) Taweez mein hasan ne yeh rokar likha hussain rokar likha hussain 2. Lauta do aaj bhai amanat mujhe meri..(2) tumne bohot khayaal..(2), rakha shukriya hussain Haye qasim, haye haye qasim..(2) Taweez mein hasan ne yeh rokar likha hussain rokar likha hussain 3. Marne ki tumne isko ijazat na di agar..(2) ghut ghut ke mera laadla..(2), mar jayega hussain Haye qasim, haye haye qasim..(2) Taweez mein hasan ne yeh rokar likha hussain rokar likha hussain 4. Dulhan banata kubra ko armaan reh gaya..(2) hojata beta aapka..(2), beta mera hussain Haye qasim, haye haye qasim..(2) Taweez mein hasan ne yeh rokar likha hussain rokar likha hussain 5. Kamsin se ladne aajaye jo arzaq sa pehelwaan..(2) Qasim ki jeet ke liye..(2), karna dua hussain Haye qasim, haye haye qasim..(2) Taweez mein hasan ne yeh rokar likha hussain rokar likha hussain 6. Ghode tumhari laash pe daudaenge shaqee'n..(2) pamaal zinda hoga..(2), mera laadla hussain Haye qasim, haye haye qasim..(2) Taweez mein hasan ne yeh rokar likha hussain rokar likha hussain 7. Qasim ki tooti pasliya'n dekhoge jis ghadi..(2) maqtal mein yaad aayegi..(2), maa Fatima hussain Haye qasim, haye haye qasim..(2) Taweez mein hasan ne yeh rokar likha hussain rokar likha hussain 8. Maqtal mein girke maa ko pukarega mera laal..(2) zehmat na dega aapko..(2), qasim mera hussain Haye qasim, haye haye qasim..(2) Taweez mein hasan ne yeh rokar likha hussain rokar likha hussain 9. Honge nisha'n sumo ke na maa dekh payega..(2) chehre pe daal dena..(2), tum apni abaa hussain Haye qasim, haye haye qasim..(2) Taweez mein hasan ne yeh rokar likha hussain rokar likha hussain 10. Sajjad aasuo'n se tha akhir mein yeh likha..(2) laasha uthane bete ka..(2), khud aaunga hussain Haye qasim, haye haye qasim..(2) Aye mere bhai Hussain Aye mere bhai Hussain Baba ke laadle