لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Salam aye ghareeb e zahra

Shahid Baltistani2021
ShiaNohaLyrics
Hussain Hussain Hussain Hussain.... Salam ho aap par aye Adam ke waris Salam ho aap par aye Nuh o Ibrahim o Musa o Isa ke waris Salam ho aap par aye Mohammad o Ali o Zahra salamullah alaiha ke waris Salam aye ghareeb e Zahra, Salam Hussain.. 1. Mere hussain teri pyaas ko salam mera ke teri pyaas se sairaab hai ye deen e khuda..(2) gawahi deta hai  ka'ba, azaan aur sajda hussain waris e Adam hai waris e Isa Kya nabi aur wali khud Mohammad sa nabi..(2) ter roze pe tujhe karta hai salam Salam, Salam Salam aye ghareeb e Zahra 2. Hussain qaid nahi hai hussain sabka hai hussain aalame insaniyat ka wirsa hai ajab ameer hai jannat ko chhod kar apni hussain aaj bhi toote dilo mein rehta hai Kya nabi aur wali khud Mohammad sa nabi..(2) ter roze pe tujhe karta hai salam Salam, Salam Salam aye ghareeb e Zahra 3. Hussain dard mein jeena sikha diya tune Hussain pyaas ko paani bana diya tune..(2) ghareeb bhi jaha'n jakar ameer lagta hai Hussain sheher hi aisa basa diya tune..(2) Kya nabi aur wali khud Mohammad sa nabi..(2) ter roze pe tujhe karta hai salam Salam, Salam Salam aye ghareeb e Zahra 4. Ajeeb shaan se wa'da nibhaya nana ka khuda ki raah mein tune luta diya kunba jawan bete ke laashe pe shukr ka sajda koi rasool bhi hota hawaas kho deta Kya nabi aur wali khud Mohammad sa nabi..(2) ter roze pe tujhe karta hai salam Salam, Salam Salam aye ghareeb e Zahra Mere ghareeb hussain, mere shaheed hussain..(2) Assalamu alaika ya qateel al abaraat 5. Ba waqt e asr gire shaah jalti reti par kahi se lagta tha naiza kahi se teer o tabar khuda kisi ko qayamat na ye dikhaye kabhi bahan ke saamne bhai pe chal gaya khanjar Assalamu alaika ya qateel al abaraat Salam, Salam Salam aye ghareeb e Zahra 6. Dhala jo asr ka suraj ajeeb shaam hui padar ke laasha e be sar pe aayi ek bacchi hata ke laash se patthar kaha ye rote hue utho utho, utho utho mere baba ujad gayi beti..(2) Salam, Salam Salam aye ghareeb e Zahra 7. Usi nasheb se naize pe aa rahe hai hussain Sina ki nok se qur'aan suna rahe hai hussain ye baat sach hai takallum khuda ki marzi se khuda ki saari khudayi chala rahe hai hussain Kya nabi aur wali khud Mohammad sa nabi..(2) ter roze pe tujhe karta hai salam Salam, Salam Salam aye ghareeb e Zahra