لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Zabt e girya

Shahid Baltistani2021
ShiaNohaLyrics
Hayya alal azaa Hayya alal buka Hayya alal azaa Hayya alal buka Hussain ya hussain maula hussain hussain..(2) Zabt e girya matam e sarwar mein ho sakta nahi..(2) Sar jhuka kar baith jo..(2) majlis mein ro sakta nahi Zabt e girya matam e sarwar mein ho sakta nahi Hussain ya hussain maula hussain hussain..(2) 1. Haq e girya hum azadaro se hoga kya adaa..(2) Haq e girya hum azadaro se hoga kya adaa Abr ka tukda samandar ko bhigo sakta nahi Zabt e girya matam e sarwar mein ho sakta nahi Hussain ya hussain maula hussain hussain..(2) 2. Munkir e matam ke maathe par hai wo daaghe siyaah..(2) Munkir e matam ke maathe par hai wo daaghe siyaah Aab e zam zam se wuzu bhi jisko dho sakta nahi Zabt e girya matam e sarwar mein ho sakta nahi Hussain ya hussain maula hussain hussain..(2) 3. Aatish e dozakh bujha deta hai jab ashk e azaa..(2) Aatish e dozakh bujha deta hai jab ashk e azaa Kya ye aasu zulm ki duniya dubo sakta nahi Zabt e girya matam e sarwar mein ho sakta nahi Hussain ya hussain maula hussain hussain..(2) 4. Karwatein jalti zamee'n par sheh ki jisko yaad hai..(2) Karwatein jalti zamee'n par sheh ki jisko yaad hai roz e ashura to wo bistar pe so sakta nahi Zabt e girya matam e sarwar mein ho sakta nahi Hussain ya hussain maula hussain hussain..(2) 5. Shaah kehte the ye duniya bhi hai ibrat ki jagah..(2) Shaah kehte the ye duniya bhi hai ibrat ki jagah mar gaya beta jawa'n aur baap ro sakta nahi Zabt e girya matam e sarwar mein ho sakta nahi Hussain ya hussain maula hussain hussain..(2) 6. Nazm hai ye yaa dure shehwar ki ladiya anees..(2) Nazm hai ye yaa dure shehwar ki ladiya anees Johari bhi is tarha moti piro sakta hai Zabt e girya matam e sarwar mein ho sakta nahi Hussain ya hussain maula hussain hussain..(2)